agni pariksha
khulī havā aur ghuTan ke vaqfe
tavīl tar the to phir bhī itne garāñ nahīñ the
magar guzishta ka.ī dinoñ se ye vaqfe goyā simaT chuke haiñ
abhī maiñ jī bhar ke le na paatī huuñ chand sāñseñ hasīñ fazā meñ
ki phir usī vaqfa-e-ghuTan kī saqīl dastak
samā.atoñ ko figār kartī
payām laatī hai mausam-e-habs aur ghuTan ke
maiñ is tasalsul se thak chukī huuñ
ai lam-yazal ai ḳhudā-e-bartar
ye darmiyāñ kī aziyyatoñ ko miTā ke kar de
mire muqaddar meñ mausam-e-gul hameshgī kā
vagarna phir dā.imī habs baḳht kar de
khuli hawa aur ghuTan ke waqfe
tawil tar the to phir bhi itne garan nahin the
magar guzishta kai dinon se ye waqfe goya simaT chuke hain
abhi main ji bhar ke le na pati hun chand sansen hasin faza mein
ki phir usi waqfa-e-ghuTan ki saqil dastak
samaaton ko figar karti
payam lati hai mausam-e-habs aur ghuTan ke
main is tasalsul se thak chuki hun
ai lam-yazal ai KHuda-e-bartar
ye darmiyan ki aziyyaton ko miTa ke kar de
mere muqaddar mein mausam-e-gul hameshgi ka
wagarna phir daimi habs baKHt kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.