zard balboñ ke bāzuoñ meñ asiir
saḳht be-jān lambī kaalī saḌak
apnī be-nūr dhundlī āñkhoñ se
paḌh rahī hai navishta-e-taqdīr
band kamroñ ke ghup añdheroñ meñ
billiyāñ pī rahī haiñ duudh ke jaam
hoTaloñ cinema-gharoñ ke qarīb
chamchamātī huī na.ī kāreñ
aur panvāḌiyoñ kī dokāneñ
aur kuchh Toliyāñ faqīroñ kī
pars vāloñ ke intizār meñ haiñ
adh-phaTe posTaroñ ke pairāhan
āhanī bilDigoñ ke jismoñ par
kitne dilkash dikhā.ī dete haiñ
bas kī behis nashistoñ par baiThī
din ke bāzār se ḳharīdī huī
aarzū ġham umiid mahrūmī
niiñd kī goliyāñ gulāb ke phuul
kele amrūd santare chāval
painT guḌiyā shamīz chūhe-dān
ek ik shai kā kar rahī hai hisāb
ahd-e-hāzir kī dil-rubā maḳhlūq!
zard balbon ke bazuon mein asir
saKHt be-jaan lambi kali saDak
apni be-nur dhundli aankhon se
paDh rahi hai nawishta-e-taqdir
band kamron ke ghup andheron mein
billiyan pi rahi hain dudh ke jam
hoTalon cinema-gharon ke qarib
chamchamati hui nai karen
aur panwaDiyon ki dokanen
aur kuchh Toliyan faqiron ki
pars walon ke intizar mein hain
adh-phaTe posTaron ke pairahan
aahani bilDigon ke jismon par
kitne dilkash dikhai dete hain
bas ki behis nashiston par baiThi
din ke bazar se KHaridi hui
aarzu gham umid mahrumi
nind ki goliyan gulab ke phul
kele amrud santare chawal
painT guDiya shamiz chuhe-dan
ek ek shai ka kar rahi hai hisab
ahd-e-hazir ki dil-ruba maKHluq!
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 635)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.