ahd-e-mazi
yaad hai āġhāz-e-ulfat kā zamāna yaad hai
Daal kar bāñhoñ meñ bāñheñ muskurānā yaad hai
ḳham-ba-ḳham zulfoñ kā vo chehre pe mere loTnā
bhīnī bhīnī nik.hatoñ meñ Duub jaanā yaad hai
surḳhiyoñ se vo jhalak uThnā ruḳh-e-zau-rez se
lete lete naam merā jheñp jaanā yaad hai
aage baḌh baḌh kar palaTnā aur phir ruknā mirā
is tarah dil kā machalnā tilmilānā yaad hai
vo mirī betābī-e-dil se tirī be-tābiyāñ
vo mire shikvoñ pe terā sar jhukānā yaad hai
vo mirī pazhmurdanī se terā ho jaanā udaas
vo mujhe bholī adāoñ se hañsānā yaad hai
gar kabhī ḳhalvat meñ chheḌā qissa-e-shām-e-firāq
muskurānā muskurā kar Taal jaanā yaad hai
be-jhijak milte the mujh se paas aate the mire
vo ghaḌī vo vaqt vo dilkash zamāna yaad hai
soch kar anjām-e-ulfat kuchh jhijaknā ḳhud-baḳhud
dam-ba-dam ghabrā ke mujh ko āzmānā yaad hai
vo mirā jazbāt se ghabrā ke tujh se rūThnā
ābdīda ho ke vo terā manānā yaad hai
yaad jis kī ḳhuun ke aañsū rulā.egī 'habīb'
vo hikāyat yaad hai aur vo fasāna yaad hai
yaad hai aaghaz-e-ulfat ka zamana yaad hai
Dal kar banhon mein banhen muskurana yaad hai
KHam-ba-KHam zulfon ka wo chehre pe mere loTna
bhini bhini nikhaton mein Dub jaana yaad hai
surKHiyon se wo jhalak uThna ruKH-e-zau-rez se
lete lete nam mera jhenp jaana yaad hai
aage baDh baDh kar palaTna aur phir rukna mera
is tarah dil ka machalna tilmilana yaad hai
wo meri betabi-e-dil se teri be-tabiyan
wo mere shikwon pe tera sar jhukana yaad hai
wo meri pazhmurdani se tera ho jaana udas
wo mujhe bholi adaon se hansana yaad hai
gar kabhi KHalwat mein chheDa qissa-e-sham-e-firaq
muskurana muskura kar Tal jaana yaad hai
be-jhijak milte the mujh se pas aate the mere
wo ghaDi wo waqt wo dilkash zamana yaad hai
soch kar anjam-e-ulfat kuchh jhijakna KHud-baKHud
dam-ba-dam ghabra ke mujh ko aazmana yaad hai
wo mera jazbaat se ghabra ke tujh se ruThna
aabdida ho ke wo tera manana yaad hai
yaad jis ki KHun ke aansu rulaegi 'habib'
wo hikayat yaad hai aur wo fasana yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.