ahd-e-mohabbat
duur mahtāb ke saa.e meñ ziyā-pāsh rahe
ruḳh-e-pur-nūr pe āvezāñ chamakte taare
chāñdnī raat meñ naddī ke kināre kākul
mere siine pe larazte hue shab-gūñ dhāre
mujhe āġhosh-e-halāvat meñ amaañ miltī thī
har madhur shaam ko majbūrī-e-ayyām se duur
apne majbūr dhaḌakte hue dil kī mānind
ġham-e-hastī se bahut duur hama kaif-o-surūr
aaj us rāhib-e-pur-nūr kī tasvīr bhī hai
apne nau-ḳhez tasavvur kī ziyā-bārī meñ
haath meñ dāna-e-sad-rang kī maalā le kar
apne irfān-o-tasavvuf kī parastārī meñ
nit-na.e zauq kī takmīl meñ gum rahtā thā
mahv thā barsoñ se vo ruuh kī bedārī meñ
zohd-o-taqvā ke fusūñ-sāz parastāroñ ne
aur aḳhlāq-o-muravvat ke riyā-kāroñ ne
apne hāthoñ se kahīñ phoḌ diyā phūñk diyā
nāznīñ husn zar-o-sīm ke ambāroñ ne
lekin us rāhib-e-pur-nūr kī azmat ke tufail
ik hasīñ ahd-e-mohabbat ke talab-gāroñ ne
apnī ma.asūm tamannāoñ ke ma.anī sīkhe
sarmadī ishq ke nākām parastāroñ ne
lākhoñ afsāne sar-e-rāh huā karte haiñ
lazzat-e-shorish-e-jazbāt se bahkā.e hue
maiñ ne har-gām pe Thukrā diye kitne hī tilism
nik.hat-o-rang ke afsūn meñ uljhā.e hue
bik ga.ī dāman-e-zarkār meñ kis va.ade par
bañdh gayā husn havas-kār kī zanjīroñ meñ
us ke aabā ke tamaddun pe nichhāvar ho kar
rah gayā ishq hasīñ ḳhvāb kī ta.abīroñ meñ
dur mahtab ke sae mein ziya-pash rahe
ruKH-e-pur-nur pe aawezan chamakte tare
chandni raat mein naddi ke kinare kakul
mere sine pe larazte hue shab-gun dhaare
mujhe aaghosh-e-halawat mein aman milti thi
har madhur sham ko majburi-e-ayyam se dur
apne majbur dhaDakte hue dil ki manind
gham-e-hasti se bahut dur hama kaif-o-surur
aaj us rahib-e-pur-nur ki taswir bhi hai
apne nau-KHez tasawwur ki ziya-bari mein
hath mein dana-e-sad-rang ki mala le kar
apne irfan-o-tasawwuf ki parastari mein
nit-nae zauq ki takmil mein gum rahta tha
mahw tha barson se wo ruh ki bedari mein
zohd-o-taqwa ke fusun-saz parastaron ne
aur aKHlaq-o-murawwat ke riya-karon ne
apne hathon se kahin phoD diya phunk diya
naznin husn zar-o-sim ke ambaron ne
lekin us rahib-e-pur-nur ki azmat ke tufail
ek hasin ahd-e-mohabbat ke talab-garon ne
apni masum tamannaon ke mani sikhe
sarmadi ishq ke nakaam parastaron ne
lakhon afsane sar-e-rah hua karte hain
lazzat-e-shorish-e-jazbaat se bahkae hue
main ne har-gam pe Thukra diye kitne hi tilism
nikhat-o-rang ke afsun mein uljhae hue
bik gai daman-e-zarkar mein kis wade par
bandh gaya husn hawas-kar ki zanjiron mein
us ke aaba ke tamaddun pe nichhawar ho kar
rah gaya ishq hasin KHwab ki tabiron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.