ahd-e-wafa
shikast-e-ġham kā tasavvur ajiib hai lekin
tirī nigāh pe kitnā mujhe bharosa hai
mire junūñ ko na.e āstāñ kī hājat thī
tirī talāsh thī ai jān-e-husn-o-barnā.ī
tujhī ko pā ke mohabbat ne sar uThāyā hai
jabīn-e-nāz pe ab itnī muskurāhaT hai
ki Duub jā.eñge is raushnī meñ vahm-o-gumāñ
maiñ sochtā huuñ ki kitnā hasīñ muqaddar hai
mire liye hī khile haiñ masarratoñ ke kañval
ye e'timād mujhe de ga.ī ho tum aa kar
sanam-kadoñ meñ to phailī hai tīrgī har-sū
har ek samt se uThtī haiñ sogvār āñkheñ
ki jab bhī hausla-e-dil ko āzmāyā hai
kisī ko ahd-e-vafā phir na raas aaya hai
magar jo zaḳhm-e-jigar kī pukār guuñj uThe
magar jo tishna-labī kā koī mudāvā ho
shikast-e-gham ka tasawwur ajib hai lekin
teri nigah pe kitna mujhe bharosa hai
mere junun ko nae aastan ki hajat thi
teri talash thi ai jaan-e-husn-o-barnai
tujhi ko pa ke mohabbat ne sar uThaya hai
jabin-e-naz pe ab itni muskurahaT hai
ki Dub jaenge is raushni mein wahm-o-guman
main sochta hun ki kitna hasin muqaddar hai
mere liye hi khile hain masarraton ke kanwal
ye e'timad mujhe de gai ho tum aa kar
sanam-kadon mein to phaili hai tirgi har-su
har ek samt se uThti hain sogwar aankhen
ki jab bhi hausla-e-dil ko aazmaya hai
kisi ko ahd-e-wafa phir na ras aaya hai
magar jo zaKHm-e-jigar ki pukar gunj uThe
magar jo tishna-labi ka koi mudawa ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.