ahwal
rūh-e-insāñ ho ga.ī āzād kyā
kahtā hai kaun
fikr ko taaza havā
kaisī ghuTan
dastaras muflis kī roTī tak huī
hone ko hai
munsifī bedār hai
ḳhvābīda-tar
kis ke ghar daulat ga.ī
vallāh aalam
jāgte haiñ naujavāñ
vo so ga.e
kuchh sunā millat kā haal
intishār-o-intishār
inqalāb aaya na thā
pahle na ab
inqalāb aane ko hai
kahtā hai kaun
ruh-e-insan ho gai aazad kya
kahta hai kaun
fikr ko taza hawa
kaisi ghuTan
dastaras muflis ki roTi tak hui
hone ko hai
munsifi bedar hai
KHwabida-tar
kis ke ghar daulat gai
wallah aalam
jagte hain naujawan
wo so gae
kuchh suna millat ka haal
intishaar-o-intishaar
inqalab aaya na tha
pahle na ab
inqalab aane ko hai
kahta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.