ai aligarh
maañ kī mamtā baap kī shafqat tirā āġhosh hai
diin duniyā kā tire saa.e meñ kis ko hosh hai
dilrubā terī adā.eñ ḳhush-nazar terā jamāl
raushnī detā hai zehnoñ ko tirā mahr-e-ḳhayāl
raqs kartī hai tire āñgan meñ jannat kī fazā
kis qadar pur-kaif hai tere daraḳhtoñ kī havā
garmiyoñ kī chāñdnī rātoñ kā manzar kaif-e-jāñ
duudh sā ThanDā samundar barf jaisī kashtiyāñ
tere dīvāne rahe haiñ kitne hī ahl-e-ḳhirad
tere zaanū par sukūñ kī niind so.e nek-o-bad
ilm kī ik sabz vaadī hai ye terī sarzamīñ
aisī hariyālī to shāyad saarī duniyā meñ nahīñ
husn kī pākīzgī tū ne atā kī umr bhar
ishq ko sanjīdgī tū ne atā kī umr bhar
har thakan ke daur meñ tū ik shajar sābit huā
gumrahī ke vāste bhī rāhbar sābit huā
man ki mamta bap ki shafqat tera aaghosh hai
din duniya ka tere sae mein kis ko hosh hai
dilruba teri adaen KHush-nazar tera jamal
raushni deta hai zehnon ko tera mahr-e-KHayal
raqs karti hai tere aangan mein jannat ki faza
kis qadar pur-kaif hai tere daraKHton ki hawa
garmiyon ki chandni raaton ka manzar kaif-e-jaan
dudh sa ThanDa samundar barf jaisi kashtiyan
tere diwane rahe hain kitne hi ahl-e-KHirad
tere zanu par sukun ki nind soe nek-o-bad
ilm ki ek sabz wadi hai ye teri sarzamin
aisi hariyali to shayad sari duniya mein nahin
husn ki pakizgi tu ne ata ki umr bhar
ishq ko sanjidgi tu ne ata ki umr bhar
har thakan ke daur mein tu ek shajar sabit hua
gumrahi ke waste bhi rahbar sabit hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.