ai bhagte lamho
ai bhāgte lamho
Thahro to
aur dekho ab is duniyā meñ
koī giit nahīñ sañgīt nahīñ
koī sohar koī malhār nahīñ
iflās ke aañsū shāhid haiñ
allāh nahīñ koī shāyad
bhagvān nahīñ autār nahīñ
har sub.h
azaañ bhī hotī hai
mandir meñ ghanTe bajte haiñ
har eid dīvālī christmas par
aivān-e-ibādat sajte haiñ
go lākhoñ ke ghar-bār nahīñ
lāchārī ke pairāhan par
paivand haiñ dahshat-gardī ke
sab ujle pairāhan vaale
Darte haiñ kaalī vardī se
jiine ke maqāsid murda haiñ
marne kī fazā hamvār nahīñ
duniyā kī vus.at kā dāman
har lamha ghaTtā jaatā hai
jis gaañv meñ ham ne janm liyā
us gaañv kī yaad dilātā hai
do tiin sadī pahle jaisā
lambā chauḌā sansār nahīñ
ai bhāgte lamhoñ Thahro to
ai bhagte lamho
Thahro to
aur dekho ab is duniya mein
koi git nahin sangit nahin
koi sohar koi malhaar nahin
iflas ke aansu shahid hain
allah nahin koi shayad
bhagwan nahin autar nahin
har subh
azan bhi hoti hai
mandir mein ghanTe bajte hain
har eid diwali christmas par
aiwan-e-ibaadat sajte hain
go lakhon ke ghar-bar nahin
lachaari ke pairahan par
paiwand hain dahshat-gardi ke
sab ujle pairahan wale
Darte hain kali wardi se
jine ke maqasid murda hain
marne ki faza hamwar nahin
duniya ki wusat ka daman
har lamha ghaTta jata hai
jis ganw mein hum ne janm liya
us ganw ki yaad dilata hai
do tin sadi pahle jaisa
lamba chauDa sansar nahin
ai bhagte lamhon Thahro to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.