ai dil-e-be-KHabar
ai dil-e-be-ḳhabar
jo havā jā chukī ab nahīñ aa.egī
jo shajar TuuT jaatā hai phaltā nahīñ
vāpsī mausamoñ kā muqaddar to hai
jo samāñ biit jaa.e palaTtā nahīñ
jaane vaale nahīñ lauTte umr bhar
ab kise DhūñDhtā hai sar-e-rahguzar
ai dil-e-kam-nazar ai mire be-ḳhabar ai mire ham-safar
vo to ḳhushbū thā agle nagar jā chukā
chāñdnī thā huā sarf-e-rañg-e-qamar
ḳhvāb thā aañkh khulte hī ojhal huā
peḌ thā rut badalte huā be-samar
ai dil-e-be-asar ai mire chāra-gar
ye hai kis ko ḳhabar!
kab havā-e-safar kā ishāra mile!
kab khuleñ sāhiloñ par safīnoñ ke par
kaun jaane kahāñ manzil-e-mauj hai!
kis jazīre pe hai shāh-zādī kā ghar ai mire chāra-gar
ai dil-e-be-ḳhabar kam-nazar mo'tabar
tū ki muddat se hai zer-e-bār-e-safar
be-qarār-e-safar
rail kī be-hunar pTriyoñ kī tarah
aas ke be-samar mausamoñ kī tarah
be-jahat manziloñ kī masāfat meñ hai
rasta bhūle hue rahravoñ kī tarah
chob-e-nār-e-safar
e'tibār-e-nazar kis gumāñ par kareñ
ai dil-e-be-basar
ye to sāhil pe bhī dekhtī hai bhañvar
ret meñ kisht kartī hai āb-e-baqā
kholtī hai havāoñ meñ bāb-e-asar
tujh ko rakhtī hai ye zebdār-e-safar be-qarār-e-safar
ai dil-e-be-hunar
garm sāñsoñ kī vo ḳhushbueñ bhuul jā
vo chahaktī huī dhaḌkaneñ bhuul jā
bhuul jā narm hoñToñ kī shādābiyāñ
harf-e-iqrār kī lazzateñ bhuul jā
bhuul jā vo havā bhuul jā vo nagar
kaun jaane kahāñ raushnī kho ga.ī
luT gayā hai kahāñ kārvān-e-sahar
ab kahāñ gesuoñ ke vo saa.e kahāñ
us kī aahaT se chamke hue bām-o-dar ai dil-e-be-basar
rañg-e-āsūdgī ke tamāshe kahāñ
jhuTpuTā hai yahāñ rahguzar rahguzar
vo to ḳhushbū thā agle nagar jā chukā
ab kise DhūñDhtā hai are be-ḳhabar
jaane vaale nahīñ lauTte umr bhar
ai dil-e-kam-nazar ai mire chāra-gar ai mire ham-safar
ai dil-e-be-KHabar
jo hawa ja chuki ab nahin aaegi
jo shajar TuT jata hai phalta nahin
wapsi mausamon ka muqaddar to hai
jo saman bit jae palaTta nahin
jaane wale nahin lauTte umr bhar
ab kise DhunDhta hai sar-e-rahguzar
ai dil-e-kam-nazar ai mere be-KHabar ai mere ham-safar
wo to KHushbu tha agle nagar ja chuka
chandni tha hua sarf-e-rang-e-qamar
KHwab tha aankh khulte hi ojhal hua
peD tha rut badalte hua be-samar
ai dil-e-be-asar ai mere chaara-gar
ye hai kis ko KHabar!
kab hawa-e-safar ka ishaara mile!
kab khulen sahilon par safinon ke par
kaun jaane kahan manzil-e-mauj hai!
kis jazire pe hai shah-zadi ka ghar ai mere chaara-gar
ai dil-e-be-KHabar kam-nazar mo'tabar
tu ki muddat se hai zer-e-bar-e-safar
be-qarar-e-safar
rail ki be-hunar pTriyon ki tarah
aas ke be-samar mausamon ki tarah
be-jahat manzilon ki masafat mein hai
rasta bhule hue rahrawon ki tarah
chob-e-nar-e-safar
e'tibar-e-nazar kis guman par karen
ai dil-e-be-basar
ye to sahil pe bhi dekhti hai bhanwar
ret mein kisht karti hai aab-e-baqa
kholti hai hawaon mein bab-e-asar
tujh ko rakhti hai ye zebdar-e-safar be-qarar-e-safar
ai dil-e-be-hunar
garm sanson ki wo KHushbuen bhul ja
wo chahakti hui dhaDkanen bhul ja
bhul ja narm honTon ki shadabiyan
harf-e-iqrar ki lazzaten bhul ja
bhul ja wo hawa bhul ja wo nagar
kaun jaane kahan raushni kho gai
luT gaya hai kahan karwan-e-sahar
ab kahan gesuon ke wo sae kahan
us ki aahaT se chamke hue baam-o-dar ai dil-e-be-basar
rang-e-asudgi ke tamashe kahan
jhuTpuTa hai yahan rahguzar rahguzar
wo to KHushbu tha agle nagar ja chuka
ab kise DhunDhta hai are be-KHabar
jaane wale nahin lauTte umr bhar
ai dil-e-kam-nazar ai mere chaara-gar ai mere ham-safar
- Book : Barzakh (Pg. 71)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Mawara Publishers, Bahawalpur Road Lahore (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.