ai dil-e-betab Thahar
tīrgī hai ki uñmaDtī hī chalī aatī hai
shab kī rag rag se lahū phuuT rahā ho jaise
chal rahī hai kuchh is andāz se nabz-e-hastī
donoñ aalam kā nasha TuuT rahā ho jaise
raat kā garm lahū aur bhī bah jaane do
yahī tārīkī to hai ġhāza-e-ruḳhsār-e-sahar
sub.h hone hī ko hai ai dil-e-betāb Thahar
abhī zanjīr chhanaktī hai pas-e-parda-e-sāz
mutlaq-ul-hukm hai shīrāza-e-asbāb abhī
sāġhar-e-nāb meñ aañsū bhī Dhalak jaate haiñ
laġhzish-e-pā meñ hai pābandIi-e-ādāb abhī
apne dīvānoñ ko dīvāna to ban lene do
apne mai-ḳhānoñ ko mai-ḳhāna to ban lene do
jald ye satvat-e-asbāb bhī uTh jā.egī
ye girāñ-bārī-e-ādāb bhī uTh jā.egī
ḳhvāh zanjīr chhanaktī hī chhanaktī hī rahe
tirgi hai ki unmaDti hi chali aati hai
shab ki rag rag se lahu phuT raha ho jaise
chal rahi hai kuchh is andaz se nabz-e-hasti
donon aalam ka nasha TuT raha ho jaise
raat ka garm lahu aur bhi bah jaane do
yahi tariki to hai ghaza-e-ruKHsar-e-sahar
subh hone hi ko hai ai dil-e-betab Thahar
abhi zanjir chhanakti hai pas-e-parda-e-saz
mutlaq-ul-hukm hai shiraaza-e-asbab abhi
saghar-e-nab mein aansu bhi Dhalak jate hain
laghzish-e-pa mein hai pabandIi-e-adab abhi
apne diwanon ko diwana to ban lene do
apne mai-KHanon ko mai-KHana to ban lene do
jald ye satwat-e-asbab bhi uTh jaegi
ye giran-bari-e-adab bhi uTh jaegi
KHwah zanjir chhanakti hi chhanakti hi rahe
- Book : Nuskha Hai Wafa(Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 108)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.