ai dil mere nashad mere
ham-zād mire barbād mire
ik umr se is zindāñ meñ huuñ
par khol mire āzād to kar
mire pairoñ meñ zanjīr-e-vafā
use toḌ zarā mujhe joḌ zarā
mujhe jiine kī tahzīb to de
mirī sāñsoñ ko tartīb to de
ab ḳhud ko zarā tū shaad to kar
mujhe jīvan se āzād to kar
tū jāntā hai is jīvan ko
ye madfan hai har hasrat kā
ye jīvan hai ik maut-numā
mujhe duur yahāñ se jaanā hai
uḌnā hai falak kī jānib ab
ik zindāñ se zindāñ kī taraf
hairāñ kī taraf jānāñ kī taraf
haañ us kī taraf jis kī ḳhātir
ye āñkheñ barsī haiñ shab-bhar
jo ḳhushbū des kā baasī hai
aur jis ko nahīñ ab merī ḳhabar
ai dil mere maiñ ḳhāk-nashīñ
kyā chāñd ko ab tasḳhīr karūñ
kis ḳhvāb ko kyuuñ ta.abīr karūñ
tārīk sā ye jo jīvan hai
ab kaise ise tanvīr karūñ
ik rang jo hai dāman meñ mire
use kitnī dafa tasvīr karūñ
dukh saare kyuuñ tahrīr karūñ
ham-zād mire nāshād mire
ai dil mere barbād mire
ab ḳhud ko zarā tū shaad to kar
ab tū mujh ko āzād to kar
mujhe jaanā hai jānāñ kī taraf
hairāñ kī taraf zindāñ kī taraf
ham-zad mere barbaad mere
ek umr se is zindan mein hun
par khol mere aazad to kar
mere pairon mein zanjir-e-wafa
use toD zara mujhe joD zara
mujhe jine ki tahzib to de
meri sanson ko tartib to de
ab KHud ko zara tu shad to kar
mujhe jiwan se aazad to kar
tu jaanta hai is jiwan ko
ye madfan hai har hasrat ka
ye jiwan hai ek maut-numa
mujhe dur yahan se jaana hai
uDna hai falak ki jaanib ab
ek zindan se zindan ki taraf
hairan ki taraf jaanan ki taraf
han us ki taraf jis ki KHatir
ye aankhen barsi hain shab-bhar
jo KHushbu des ka basi hai
aur jis ko nahin ab meri KHabar
ai dil mere main KHak-nashin
kya chand ko ab tasKHir karun
kis KHwab ko kyun tabir karun
tarik sa ye jo jiwan hai
ab kaise ise tanwir karun
ek rang jo hai daman mein mere
use kitni dafa taswir karun
dukh sare kyun tahrir karun
ham-zad mere nashad mere
ai dil mere barbaad mere
ab KHud ko zara tu shad to kar
ab tu mujh ko aazad to kar
mujhe jaana hai jaanan ki taraf
hairan ki taraf zindan ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.