ai dil mere pagal jogi
is duniyā meñ
chashm-o-zabāñ ke
nutq-o-bayāñ ke
yā dil-o-jāñ ke
kitne rishte TuuT ga.e haiñ
ai dil āḳhir
kis kāran ranjīda honā
kis ke liye nam-dīda honā
pāgal ye to sachchā.ī hai
sachchā.ī par ronā kaisā
palak Dor meñ hiire laal pironā kaisā
dard kā tūfāñ aañkh nagar meñ phail gayā to
kyā dukh hai aur kaisā ġham hai
sach kā har irfān aham hai
ai dil mere pāgal jogī
muTThī-bhar ik baar to jī le
jīvan-vish do ghūñT to pī le
man-chunarī kāñToñ se sī le
ai dil mere pāgal jogī
mat ban rogī
āḳhirī sub.h kabhī to hogī
is duniya mein
chashm-o-zaban ke
nutq-o-bayan ke
ya dil-o-jaan ke
kitne rishte TuT gae hain
ai dil aaKHir
kis karan ranjida hona
kis ke liye nam-dida hona
pagal ye to sachchai hai
sachchai par rona kaisa
palak Dor mein hire lal pirona kaisa
dard ka tufan aankh nagar mein phail gaya to
kya dukh hai aur kaisa gham hai
sach ka har irfan aham hai
ai dil mere pagal jogi
muTThi-bhar ek bar to ji le
jiwan-wish do ghunT to pi le
man-chunari kanTon se si le
ai dil mere pagal jogi
mat ban rogi
aaKHiri subh kabhi to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.