ai fairy-tail
kabhī bachpan meñ jo paḌhte the pariyoñ kī kahānī meñ
parī koī tilsmātī asar se
nīm-shab saare khilaunoñ ko
badal detī thī jītī-jāgtī maḳhlūq meñ
ab yuuñ huā
aise hī nādīda asar ne
ek ghar meñ
kuchh khilaunoñ ko atā kī zindagī
aur lamha bhar meñ in ko hañsne bolne
aur sub.h kī pahlī kiran tak
zinda rahne par kyā qādir
unhī meñ ek thā aisā khilaunā
jo khilaunoñ se bhare kamre meñ tanhā thā
use bachche kabhī āġhosh meñ lete
kabhī Thokar lagāte the
use sofe ke pīchhe pheñkte aur bhuul jaate the
ye un kā khel thā aur us kī qismat
aaj vo mazlūm bhī pal-bhar meñ zinda ho gayā thā
vo khilaunā
ab koī dard-āshnā be-laus sāthī chāhtā thā
us ne apne paas hī rakhī huī
guḌiyā kī jānib
dostī kā haath phailāyā
magar guḌiyā laraz kar haT ga.ī pīchhe
ki jaise koī dast-e-tifl-e-nādāñ
is kī jānib baḌh rahā ho
jo use iizā bhī degā
aur shāyad toḌ bhī degā
use be-mehr bachchoñ se
jo dukh milte rahe the
un kī talḳhī ne
use achchhe bure ke farq se
aur sachche jazboñ kī pazīrā.ī se begāna kiyā thā
vo shāyad rishta-e-ehsās kī us mehrbāñ tāsīr se nā-āshnā bhī thī
jo āñkhoñ meñ chamak aur zindagī meñ rañg bhartī hai
shikasta-dil khilaunā haath vāpas khīñch kar
ab sub.h kī pahlī kiran kā muntazir hai
jab fusūñ TuuTe aur is se zindagī chhin jaa.e
vo phir ek be-ehsās aur be-jān shai ban jaa.e
kabhi bachpan mein jo paDhte the pariyon ki kahani mein
pari koi tilsmati asar se
nim-shab sare khilaunon ko
badal deti thi jiti-jagti maKHluq mein
ab yun hua
aise hi nadida asar ne
ek ghar mein
kuchh khilaunon ko ata ki zindagi
aur lamha bhar mein in ko hansne bolne
aur subh ki pahli kiran tak
zinda rahne par kya qadir
unhi mein ek tha aisa khilauna
jo khilaunon se bhare kamre mein tanha tha
use bachche kabhi aaghosh mein lete
kabhi Thokar lagate the
use sofe ke pichhe phenkte aur bhul jate the
ye un ka khel tha aur us ki qismat
aaj wo mazlum bhi pal-bhar mein zinda ho gaya tha
wo khilauna
ab koi dard-ashna be-laus sathi chahta tha
us ne apne pas hi rakhi hui
guDiya ki jaanib
dosti ka hath phailaya
magar guDiya laraz kar haT gai pichhe
ki jaise koi dast-e-tifl-e-nadan
is ki jaanib baDh raha ho
jo use iza bhi dega
aur shayad toD bhi dega
use be-mehr bachchon se
jo dukh milte rahe the
un ki talKHi ne
use achchhe bure ke farq se
aur sachche jazbon ki pazirai se begana kiya tha
wo shayad rishta-e-ehsas ki us mehrban tasir se na-ashna bhi thi
jo aankhon mein chamak aur zindagi mein rang bharti hai
shikasta-dil khilauna hath wapas khinch kar
ab subh ki pahli kiran ka muntazir hai
jab fusun TuTe aur is se zindagi chhin jae
wo phir ek be-ehsas aur be-jaan shai ban jae
- Book : siip (Magzin) (Pg. 168)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.