ai habib-e-ambar-dast!
Interesting Fact
ek ajnabii KHaatuun ke naam KHushbuu kaa tohfa vasuul hone par
kisī ke dast-e-ināyat ne kunj-e-zindāñ meñ
kiyā hai aaj ajab dil-navāz band-o-bast
mahak rahī hai fazā zulf-e-yār kī sūrat
havā hai garmī-e-ḳhushbū se is tarah sarmast
abhī abhī koī guzrā hai gul-badan goyā
kahīñ qarīb se, gesū-ba-dosh, ġhuncha-ba-dast
liye hai bū-e-rifāqat agar havā-e-chaman
to laakh pahre biThā.eñ qafas pe zulm-parast
hamesha sabz rahegī vo shāḳh-e-mehr-o-vafā
ki jis ke saath bañdhī hai diloñ kī fat.h o shikast
ye sher-e-hāfiz-e-shīrāz, ai sabā! kahnā
mile jo tujh se kahīñ vo habīb-e-ambar-dast
''ḳhalal-pazīr buad har binā ki mai-bīnī
ba-juz binā-e-mohabbat ki ḳhālī az-ḳhalal-ast''
kisi ke dast-e-inayat ne kunj-e-zindan mein
kiya hai aaj ajab dil-nawaz band-o-bast
mahak rahi hai faza zulf-e-yar ki surat
hawa hai garmi-e-KHushbu se is tarah sarmast
abhi abhi koi guzra hai gul-badan goya
kahin qarib se, gesu-ba-dosh, ghuncha-ba-dast
liye hai bu-e-rifaqat agar hawa-e-chaman
to lakh pahre biThaen qafas pe zulm-parast
hamesha sabz rahegi wo shaKH-e-mehr-o-wafa
ki jis ke sath bandhi hai dilon ki fath o shikast
ye sher-e-hafiz-e-shiraaz, ai saba! kahna
mile jo tujh se kahin wo habib-e-ambar-dast
KHalal-pazir buad har bina ki mai-bini
ba-juz bina-e-mohabbat ki KHali az-KHalal-ast
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 241)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.