ai ishq-e-junun-pesha
umroñ kī masāfat se
thak-hār ga.e āḳhir
sab ahd aziyyat ke
bekār ga.e āḳhir
aġhyār kī bāñhoñ meñ
dildār ga.e āḳhir
ro kar tirī qismat ko
ġham-ḳhvār ga.e āḳhir
yuuñ zindagī guzregī
tā chand vafā-keshā
vo vādī-e-ulfat thī
yā koh-e-alam jo thā
sab madd-e-muqābil the
ḳhusrav thā ki jam jo thā
har raah meñ Tapkā hai
ḳhūnāba baham jo thā
rastoñ meñ luTāyā hai
vo besh ki kam jo thā
nai ranj-e-shikast-e-dil
nai jaan kā andesha
.
kuchh ahl-e-riyā bhī to
hamrāh hamāre the
rahrav the ki rahzan the
jo ruup bhī dhāre the kuchh sahl-talab bhī the
vo bhī hameñ pyāre the
apne the ki begāne
ham ḳhush the ki saare the
sau zaḳhm the nas nas meñ
ghāyal the rag-o-resha
jo jism kā īñdhan thā
gulnār kiyā ham ne
vo zahr ki amrit thā
jī bhar ke piyā ham ne
sau zaḳhm ubhar aa.e
jab dil ko siyā ham ne
kyā kyā na mohabbat kī
kyā kyā na jiyā ham ne
lo kuuch kiyā ghar se
lo jog liyā ham ne
jo kuchh thā diyā ham ne
aur dil se kahā ham ne
ruknā nahīñ darveshā
yuuñ hai ki safar apnā
thā ḳhvāb na afsāna
āñkhoñ meñ abhī tak hai
fardā kā parī-ḳhāna
sad-shukr salāmat hai
pindār-e-faqīrāna
is shahr-e-ḳhamoshī meñ
phir nāra-e-mastāna
ai himmat-e-mardāna
sad-ḳhārā-o-yak-tesha
ai ishq-e-junūñ-pesha
ai ishq-e-junūñ-pesha
umron ki masafat se
thak-haar gae aaKHir
sab ahd aziyyat ke
bekar gae aaKHir
aghyar ki banhon mein
dildar gae aaKHir
ro kar teri qismat ko
gham-KHwar gae aaKHir
yun zindagi guzregi
ta chand wafa-kesha
wo wadi-e-ulfat thi
ya koh-e-alam jo tha
sab madd-e-muqabil the
KHusraw tha ki jam jo tha
har rah mein Tapka hai
KHunaba baham jo tha
raston mein luTaya hai
wo besh ki kam jo tha
nai ranj-e-shikast-e-dil
nai jaan ka andesha
kuchh ahl-e-riya bhi to
hamrah hamare the
rahraw the ki rahzan the
jo rup bhi dhaare the kuchh sahl-talab bhi the
wo bhi hamein pyare the
apne the ki begane
hum KHush the ki sare the
sau zaKHm the nas nas mein
ghayal the rag-o-resha
jo jism ka indhan tha
gulnar kiya hum ne
wo zahr ki amrit tha
ji bhar ke piya hum ne
sau zaKHm ubhar aae
jab dil ko siya hum ne
kya kya na mohabbat ki
kya kya na jiya hum ne
lo kuch kiya ghar se
lo jog liya hum ne
jo kuchh tha diya hum ne
aur dil se kaha hum ne
rukna nahin darwesha
yun hai ki safar apna
tha KHwab na afsana
aankhon mein abhi tak hai
farda ka pari-KHana
sad-shukr salamat hai
pindar-e-faqirana
is shahr-e-KHamoshi mein
phir nara-e-mastana
ai himmat-e-mardana
sad-KHara-o-yak-tesha
ai ishq-e-junun-pesha
ai ishq-e-junun-pesha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.