ai jahan dekh le!
ai jahāñ dekh le kab se be-ghar haiñ ham
ab nikal aa.e haiñ le ke apnā alam
ye mahallāt ye ūñche ūñche makāñ
in kī buniyād meñ hai hamārā lahū
kal jo mehmān the ghar ke mālik bane
shaah bhī hai adū shaiḳh bhī hai adū
kab talak ham saheñ ġhāsiboñ ke sitam
ai jahāñ dekh le kab se be-ghar haiñ ham
ab nikal aa.e haiñ le ke apnā alam
itnā saada na ban tujh ko ma.alūm hai
kaun ghere hue hai filistīn ko
aaj khul ke ye na.ara lagā ai jahāñ
qātilo rah-zano ye zamīñ chhoḌ do
ham ko laḌnā hai jab tak ki dam meñ hai dam
ai jahāñ dekh le kab se be-ghar haiñ ham
ab nikal aa.e haiñ le ke apnā alam
ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum
ab nikal aae hain le ke apna alam
ye mahallat ye unche unche makan
in ki buniyaad mein hai hamara lahu
kal jo mehman the ghar ke malik bane
shah bhi hai adu shaiKH bhi hai adu
kab talak hum sahen ghasibon ke sitam
ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum
ab nikal aae hain le ke apna alam
itna sada na ban tujh ko malum hai
kaun ghere hue hai filistin ko
aaj khul ke ye nara laga ai jahan
qatilo rah-zano ye zamin chhoD do
hum ko laDna hai jab tak ki dam mein hai dam
ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum
ab nikal aae hain le ke apna alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.