ai ju-e-ab
tamām umr ke suud o ziyāñ kā baar liye?
har inqalāb zamāne se muñh chhupā.e hue
hayāt o marg kī sarhad pe nīm-ḳhvābīda
maiñ muntazir thā
masarrat kī koī dhundlī kiran
zamāñ makāñ se pare ajnabī jazīroñ se
dam-e-sahar mujhe ḳhvāboñ meñ DhūñDtī aa.e
fishār-e-vaqt kī sarhad se duur le jaa.e
khulī jo aañkh
tulū-e-sahar ne hañs ke kahā
hisār-e-vaqt se aage koī maqām nahīñ
samajh sako, to zamān o makāñ kī qaid nahīñ
samajh sako
to yahī zaat be-karāñ bhī hai
tamam umr ke sud o ziyan ka bar liye?
har inqalab zamane se munh chhupae hue
hayat o marg ki sarhad pe nim-KHwabida
main muntazir tha
masarrat ki koi dhundli kiran
zaman makan se pare ajnabi jaziron se
dam-e-sahar mujhe KHwabon mein DhunDti aae
fishaar-e-waqt ki sarhad se dur le jae
khuli jo aankh
tulu-e-sahar ne hans ke kaha
hisar-e-waqt se aage koi maqam nahin
samajh sako, to zaman o makan ki qaid nahin
samajh sako
to yahi zat be-karan bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.