ai KHuda ai KHuda
phuul bheje haiñ jo tū ne paudoñ ke haath
saare din aaj khelā huuñ maiñ un ke saath
aur kaliyāñ khilā aur kaliyāñ khilā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
raat tāroñ se jholī bhare aa.ī thī
ghup añdherā magar saath vo laa.ī thī
maiñ kabhī ḳhush huā maiñ kabhī Dar gayā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
pattiyāñ haiñ hathelī pe motī liye
tū ne paudoñ ko ye sab khilaune diye
un se aatā nahīñ hai magar khelnā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
gaanā chiḌiyāñ jo gaatī huī aa.ī haiñ
sub.h ko chahchahātī huī aa.ī haiñ
in ko tū ne batāyā hai merā patā
ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā ai ḳhudā
phul bheje hain jo tu ne paudon ke hath
sare din aaj khela hun main un ke sath
aur kaliyan khila aur kaliyan khila
ai KHuda ai KHuda ai KHuda
raat taron se jholi bhare aai thi
ghup andhera magar sath wo lai thi
main kabhi KHush hua main kabhi Dar gaya
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
pattiyan hain hatheli pe moti liye
tu ne paudon ko ye sab khilaune diye
un se aata nahin hai magar khelna
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
gana chiDiyan jo gati hui aai hain
subh ko chahchahati hui aai hain
in ko tu ne bataya hai mera pata
ai KHuda ai KHuda ai KHuda ai KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.