ai KHuda
ye ġham nahīñ ki ġham-e-bandagī muqaddar hai
ġham ḳhudā.ī se kuchh kam hai aur kamtar hai
akelā maiñ bhī huuñ tū bhī akelā hai ai ḳhudā
na koī saanī hai terā na koī ham-sar hai
ġham-e-hayāt ġham-e-jānāñ aur ġham-e-daurāñ
ye kā.enāt kā ġham in sabhoñ se baḌh kar hai
jo ġham sivā ho to tū kyā kare hai mere ḳhudā
yahāñ to ashk fashāñ momin aur kāfar hai
batā ki tū bhī ḳhudā rakhtā hai koī apnā
yahāñ to hai ye sukūñ tū ḳhudā-e-bartar hai
ye gham nahin ki gham-e-bandagi muqaddar hai
gham KHudai se kuchh kam hai aur kamtar hai
akela main bhi hun tu bhi akela hai ai KHuda
na koi sani hai tera na koi ham-sar hai
gham-e-hayat gham-e-jaanan aur gham-e-dauran
ye kaenat ka gham in sabhon se baDh kar hai
jo gham siwa ho to tu kya kare hai mere KHuda
yahan to ashk fashan momin aur kafar hai
bata ki tu bhi KHuda rakhta hai koi apna
yahan to hai ye sukun tu KHuda-e-bartar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.