ai mere pyare watan
tere gulshan kī har ik rangīn Daalī ko salām
terī ḳhushbū terī kaliyoñ tere maalī ko salām
shab kī zulf-e-ambarīñ ko din kī laalī ko salām
ai mire mohsin tire husn-misālī ko salām
reshmīñ kirnoñ meñ lipTī terī sub.hoñ ko salām
nuur meñ Duubī huī pūnam kī rātoñ ko salām
ruup ke sehre sajātī terī kirnoñ ko salām
ai mire mohsin tirī nūrānī sham.oñ ko salām
tere phūloñ ko tirī dilkash bahāroñ ko salām
tere sūraj kī suhānī rahguzāroñ ko salām
tere zarroñ terī dhartī ke sitāroñ ko salām
abr-pāroñ ko phuvāroñ ko chanāroñ ko salām
nuur se chehra ho raushan zulf lahrātī rahe
yuuñ hī terī sub.h terī shaam muskātī rahe
vaqt kī lai par tarāna zindagī kā chheḌ kar
terī azmat ko na.ī tārīḳh dohrātī rahe
ai vatan pyāre vatan mere vatan mere vatan
tere gulshan ki har ek rangin Dali ko salam
teri KHushbu teri kaliyon tere mali ko salam
shab ki zulf-e-ambarin ko din ki lali ko salam
ai mere mohsin tere husn-misali ko salam
reshmin kirnon mein lipTi teri subhon ko salam
nur mein Dubi hui punam ki raaton ko salam
rup ke sehre sajati teri kirnon ko salam
ai mere mohsin teri nurani shamon ko salam
tere phulon ko teri dilkash bahaaron ko salam
tere suraj ki suhani rahguzaron ko salam
tere zarron teri dharti ke sitaron ko salam
abr-paron ko phuwaron ko chanaron ko salam
nur se chehra ho raushan zulf lahraati rahe
yun hi teri subh teri sham muskati rahe
waqt ki lai par tarana zindagi ka chheD kar
teri azmat ko nai tariKH dohraati rahe
ai watan pyare watan mere watan mere watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.