ai mere sare logo
ab mire dūsre baazū pe vo shamshīr hai jo
is se pahle bhī mirā nisf badan kaaT chukī
usī bandūq kī naalī hai mirī samt ki jo
is se pahle mirī shah-rag kā lahū chaaT chukī
phir vahī aag dar aa.ī hai mirī galiyoñ meñ
phir mire shahr meñ bārūd kī bū phailī hai
phir se ''tū kaun hai maiñ kaun hūñ'' aapas meñ savāl
phir vahī soch miyān-e-man-o-tū phailī hai
mirī bastī se pare bhī mire dushman hoñge
par yahāñ kab koī aġhyār kā lashkar utrā
āshnā haath hī aksar mirī jānib lapke
mere siine meñ sadā apnā hī ḳhanjar utrā
phir vahī ḳhauf kī dīvār tazabzub kī fazā
phir vahī aam huiiñ ahl-e-riyā kī bāteñ
na.ara-e-hubb-e-vatan māl-e-tijārat kī tarah
jins-e-arzāñ kī tarah dīn-e-ḳhudā kī bāteñ
is se pahle bhī to aisī hī ghaḌī aa.ī thī
sub.h-e-vahshat kī tarah shām-e-ġharībāñ kī tarah
is se pahle bhī to paimān-e-vafā TuuTe the
shīsha-e-dil kī tarah ā.īna-e-jāñ kī tarah
phir kahāñ ahmarīñ hoñToñ pe duāoñ ke diye
phir kahāñ shabnamīñ chehroñ pe rifāqat kī ridā
sandalīñ paañv se mastāna-ravī ruuTh ga.ī
marmarīñ hāthoñ pe jal-bujh gayā añgār-e-hinā
dil-nashīñ āñkhoñ meñ furqat-zada kājal royā
shāḳh-e-bāzū ke liye zulf kā bādal royā
misl-e-pairāhan-e-gul phir se badan chaak hue
jaise apnoñ kī kamānoñ meñ hoñ aġhyār ke tiir
is se pahle bhī huā chāñd mohabbat kā do-nīm
nok-e-dashna se khichī thī mirī dhartī pe lakīr
aaj aisā nahīñ aisā nahīñ hone denā
ai mire soḳhta-jāno mire piyāre logo
ab ke gar zalzale aa.e to qayāmat hogī
mere dil-gīr mire dard ke maare logo
kisī ġhāsib kisī zālim kisī qātil ke liye
ḳhud ko taqsīm na karnā mire saare logo
ab mere dusre bazu pe wo shamshir hai jo
is se pahle bhi mera nisf badan kaT chuki
usi banduq ki nali hai meri samt ki jo
is se pahle meri shah-rag ka lahu chaT chuki
phir wahi aag dar aai hai meri galiyon mein
phir mere shahr mein barud ki bu phaili hai
phir se tu kaun hai main kaun hun aapas mein sawal
phir wahi soch miyan-e-man-o-tu phaili hai
meri basti se pare bhi mere dushman honge
par yahan kab koi aghyar ka lashkar utra
aashna hath hi aksar meri jaanib lapke
mere sine mein sada apna hi KHanjar utra
phir wahi KHauf ki diwar tazabzub ki faza
phir wahi aam huin ahl-e-riya ki baaten
nara-e-hubb-e-watan mal-e-tijarat ki tarah
jins-e-arzan ki tarah din-e-KHuda ki baaten
is se pahle bhi to aisi hi ghaDi aai thi
subh-e-wahshat ki tarah sham-e-ghariban ki tarah
is se pahle bhi to paiman-e-wafa TuTe the
shisha-e-dil ki tarah aaina-e-jaan ki tarah
phir kahan ahmarin honTon pe duaon ke diye
phir kahan shabnamin chehron pe rifaqat ki rida
sandalin panw se mastana-rawi ruTh gai
marmarin hathon pe jal-bujh gaya angar-e-hina
dil-nashin aankhon mein furqat-zada kajal roya
shaKH-e-bazu ke liye zulf ka baadal roya
misl-e-pairahan-e-gul phir se badan chaak hue
jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke tir
is se pahle bhi hua chand mohabbat ka do-nim
nok-e-dashna se khichi thi meri dharti pe lakir
aaj aisa nahin aisa nahin hone dena
ai mere soKHta-jaano mere piyare logo
ab ke gar zalzale aae to qayamat hogi
mere dil-gir mere dard ke mare logo
kisi ghasib kisi zalim kisi qatil ke liye
KHud ko taqsim na karna mere sare logo
- Book : kulliyate ahmad faraaz (Pg. 699)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.