ai mere sar-sabz KHuda
bain karne vāloñ ne
mujhe adh khule haath se qubūl kiyā
insān ke do janam haiñ
phir shaam kā maqsad kyā hai
maiñ apnī nigrānī meñ rahī aur kam hotī chalī ga.ī
kuttoñ ne jab chāñd dekhā
apnī poshāk bhuul ga.e
maiñ sābit qadam hī TuuTī thī
ab tere bojh se dhañs rahī huuñ
tanhā.ī mujhe shikār kar rahī hai
ai mere sar-sabz ḳhudā
ḳhizāñ ke mausam meñ bhī maiñ ne tujhe yaad kiyā
qātil kī sazā maqtūl nahīñ
ġhaib kī jañgalī-bel ko ghar tak kaise lā.ūñ
phir āñkhoñ ke TaaT pe maiñ ne likkhā
maiñ āñkhoñ se martī
tū qadmoñ se zinda ho jaatī
bain karne walon ne
mujhe adh khule hath se qubul kiya
insan ke do janam hain
phir sham ka maqsad kya hai
main apni nigrani mein rahi aur kam hoti chali gai
kutton ne jab chand dekha
apni poshak bhul gae
main sabit qadam hi TuTi thi
ab tere bojh se dhans rahi hun
tanhai mujhe shikar kar rahi hai
ai mere sar-sabz KHuda
KHizan ke mausam mein bhi main ne tujhe yaad kiya
qatil ki saza maqtul nahin
ghaib ki jangali-bel ko ghar tak kaise laun
phir aankhon ke TaT pe main ne likkha
main aankhon se marti
tu qadmon se zinda ho jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.