ai meri jaan meri aankhon ki raushni sun to
ai merī jaañ mirī āñkhoñ kī raushnī sun to
jo zaḳhm tū ne diye maiñ ne gul banā Daale
mahak rahe haiñ vahī sher ban ke sāñsoñ meñ
tire laboñ ne ka.ī giit mujh ko baḳhshe haiñ
tire hī jism kā jaadū jagā hai nazmoñ meñ
ai merī jaañ mirī ġhazloñ kī naġhmagī sun to
tū aaj bhī mire hamrāh ham-navā hai mirī
tire hī naam pe dil ab talak dhaḌaktā hai
maiñ tujh ko bhuul gayā ye ḳhayāl hai terā
ye soch hai tirī be-ma.anī be sabab sun to
ai merī jaañ mirī ġhazloñ kī tāzgī sun to
ai meri jaan meri aankhon ki raushni sun to
jo zaKHm tu ne diye main ne gul bana Dale
mahak rahe hain wahi sher ban ke sanson mein
tere labon ne kai git mujh ko baKHshe hain
tere hi jism ka jadu jaga hai nazmon mein
ai meri jaan meri ghazlon ki naghmagi sun to
tu aaj bhi mere hamrah ham-nawa hai meri
tere hi nam pe dil ab talak dhaDakta hai
main tujh ko bhul gaya ye KHayal hai tera
ye soch hai teri be-mani be sabab sun to
ai meri jaan meri ghazlon ki tazgi sun to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.