ai mere mehrban
pūchhtī huuñ tumheñ ik savāl aaj maiñ
pūchhtī huuñ vo lamhe kahāñ haiñ bhalā
jo tire paas the
jo mirī aas the
mere lamhe bhalā dhuul kaise hue
ḳhvāb vo vaqt kī dhuul kaise hue
kaise bujhne lage the sitāre sabhī
kaise jugnū añdheroñ meñ ḳhud kho ga.e
titliyāñ phuul se duur kaise huiiñ
abr se aag kaise barasne lagī
zindagī kis liye mujh pe hañsne lagī
ek shahnā.ī meñ dab ga.iiñ siskiyāñ
sog kī kaifiyat vaqt mātam-kunāñ
har taraf shor thā har taraf thī fuġhāñ
bebasī ke vo lamhe the nā-mehrbāñ
ho rahī thī raqam ik na.ī dāstāñ
aise lamhāt meñ so ga.e tum kahāñ
chhoḌ kar mujh ko maqtal meñ tanhā bhalā
so ga.e tum kahāñ
ai mire mehrbāñ
puchhti hun tumhein ek sawal aaj main
puchhti hun wo lamhe kahan hain bhala
jo tere pas the
jo meri aas the
mere lamhe bhala dhul kaise hue
KHwab wo waqt ki dhul kaise hue
kaise bujhne lage the sitare sabhi
kaise jugnu andheron mein KHud kho gae
titliyan phul se dur kaise huin
abr se aag kaise barasne lagi
zindagi kis liye mujh pe hansne lagi
ek shahnai mein dab gain siskiyan
sog ki kaifiyat waqt matam-kunan
har taraf shor tha har taraf thi fughan
bebasi ke wo lamhe the na-mehrban
ho rahi thi raqam ek nai dastan
aise lamhat mein so gae tum kahan
chhoD kar mujh ko maqtal mein tanha bhala
so gae tum kahan
ai mere mehrban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.