ai ruKH-e-yar idhar dekh zara
ham ki vāmāndagi-e-shauq kā lamha le kar
aa ga.e haiñ tire paikar ke ujāloñ ke qarīb
kitnī sadiyoñ kī masāfat le kar
ek darmāñda tahī-dast musāfir kī tarah
aa ke Thahre haiñ tire pyaar ke bargad nīche
ham ki mas.hūr tilismāt-kade haiñ tere
terī āñkhoñ tere hoñToñ terī zulfoñ ke asiir
terī tamannā ke faqīr
muntazir haiñ ki tire jism kā partav ubhre
aur raushan hoñ taḳhayyul kī vo rāheñ jin par
kab se phailī huī gumnām sī tārīkī hai
yuuñ simaT jaa.e mire baḳht pe utrī huī raat
nuur chhan kar tire paikar kī tunuk-tābī se
merī be-nūr sī duniyā ko munavvar kar de
mere ḳhvāboñ ko haqīqat kar de
ai ruḳh-e-yār idhar dekh zarā
mere dil-dār idhar dekh zarā
jis kā ik umr tamannā.ī rahā
apne gul-rang se jalvoñ ke tufail
mujh ko vo kaif vo ra.anā.ī de
ek be-nām se rishte ko pazīrā.ī de
ab to ik lams-e-masīhā.ī de
ham ko ai jān-e-jahāñ itnī ijāzat de de
jis ghaḌī shaam Dhale
terī gesū kī tarah shab kī hasīñ zulf khule
tere āñchal kā kināra le kar
ek be-nām sahārā le kar
apnī betāb tamannāoñ kī girheñ kholeñ
tere zaanū pe ye sar rakh ke
do aañsū ro leñ
hum ki wamandagi-e-shauq ka lamha le kar
aa gae hain tere paikar ke ujalon ke qarib
kitni sadiyon ki masafat le kar
ek darmanda tahi-dast musafir ki tarah
aa ke Thahre hain tere pyar ke bargad niche
hum ki mashur tilismat-kade hain tere
teri aankhon tere honTon teri zulfon ke asir
teri tamanna ke faqir
muntazir hain ki tere jism ka partaw ubhre
aur raushan hon taKHayyul ki wo rahen jin par
kab se phaili hui gumnam si tariki hai
yun simaT jae mere baKHt pe utri hui raat
nur chhan kar tere paikar ki tunuk-tabi se
meri be-nur si duniya ko munawwar kar de
mere KHwabon ko haqiqat kar de
ai ruKH-e-yar idhar dekh zara
mere dil-dar idhar dekh zara
jis ka ek umr tamannai raha
apne gul-rang se jalwon ke tufail
mujh ko wo kaif wo ranai de
ek be-nam se rishte ko pazirai de
ab to ek lams-e-masihai de
hum ko ai jaan-e-jahan itni ijazat de de
jis ghaDi sham Dhale
teri gesu ki tarah shab ki hasin zulf khule
tere aanchal ka kinara le kar
ek be-nam sahaara le kar
apni betab tamannaon ki girhen kholen
tere zanu pe ye sar rakh ke
do aansu ro len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.