ai sitaro
raat kī namnāk zulfoñ meñ
abhī kāzib saverā ho rahā hai
ai sitāro
kyā nahīñ mālūm tum ko
aaj maiñ aivān-e-hastī se nikal kar
ḳhvāb-zār-e-zindagī meñ muntashir huuñ
niiñd kī bād-e-sabā āñkhoñ se haT kar bah rahī hai
mere andar ruuh jū-e-kahkashāñ hai
jis se merī hastī-e-zāhir hai tābāñ
hastī-e-bātin ke raushan āsmāñ par
muttaqī anvār meñ Duube hue hassās jugnū
vādī-e-asrār kī jānib ravāñ haiñ
ai sitāro
raat ke sāgar ko maiñ
apne qalam meñ bhar chukā huuñ
ḳhvāb kī bojhal karāheñ
be-karāñ ehsās ke
jal-thal kaToroñ se chhalaktī jā rahī haiñ
saf.ha-e-qirtās par ab
āsmāñ kī be-navā tanhā.iyāñ
manzūm hoñgī
sub.h tak merā qalam ristā rahegā
raat ki namnak zulfon mein
abhi kazib sawera ho raha hai
ai sitaro
kya nahin malum tum ko
aaj main aiwan-e-hasti se nikal kar
KHwab-zar-e-zindagi mein muntashir hun
nind ki baad-e-saba aankhon se haT kar bah rahi hai
mere andar ruh ju-e-kahkashan hai
jis se meri hasti-e-zahir hai taban
hasti-e-baatin ke raushan aasman par
muttaqi anwar mein Dube hue hassas jugnu
wadi-e-asrar ki jaanib rawan hain
ai sitaro
raat ke sagar ko main
apne qalam mein bhar chuka hun
KHwab ki bojhal karahen
be-karan ehsas ke
jal-thal kaToron se chhalakti ja rahi hain
safha-e-qirtas par ab
aasman ki be-nawa tanhaiyan
manzum hongi
subh tak mera qalam rista rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.