ai urus-e-bambai
ai urūs-e-bamba.ī sad-haif pīroñ kā shikār
qāfile pīroñ ke baiThe haiñ qatār-andar-qatār
har galī kī moḌ par ik piir hai baiThā huā
pūchhtā hai jis se har ik zindagī kā rāsta
masjidoñ meñ but-kadoñ meñ aur mai-ḳhānoñ meñ piir
koh meñ gulzār meñ bastī meñ vīrānoñ meñ piir
jis taraf nazreñ uThīñ pīroñ kā ik sailāb hai
saikḌoñ pīroñ ke andar aadmī nāyāb hai
bamba.ī meñ ġham-gusār-e-zindagī miltā nahīñ
piir to milte haiñ lekin aadmī miltā nahīñ
piir vo jo race ke ghoḌoñ pe rakhte haiñ nazar
vahī nāzil hotī hai saTTe kī jin ke qalb par
ahmaqoñ ko aur bhī ullū banāne ke liye
aa.e haiñ duniyā meñ jo saTTā batāne ke liye
aap kī tauhīn hai gar kuchh bhī mehnat kījiye
ek biiḌī dījiye saTTe kā number lījiye
paar hai beḌā jo kar le koī pīroñ par yaqīñ
naukrī aulād paise kā koī dānda nahīñ
hoshiyār in rahzanoñ se ai urūs-e-bamba.ī
tere ruḳhsāroñ kī kam hone lagī hai raushnī
terī nasloñ meñ javāñ pīroñ kī bāteñ jā.eñgī
aql ke hote hue bhī rañg apnā lā.eñgī
zindagī kā rāsta is tarah mil saktā nahīñ
ġhuncha-e-ummīd in pīroñ se khil saktā nahīñ
chhoḌ de lillāh ab ye pīr-bāzī chhoḌ de
but-shikan fitrat hai terī in butoñ ko toḌ de
haif tujh ko zindagī kā rāsta miltā nahīñ
piir milte haiñ tujhe lekin ḳhudā miltā nahīñ
ai urus-e-bambai sad-haif piron ka shikar
qafile piron ke baiThe hain qatar-andar-qatar
har gali ki moD par ek pir hai baiTha hua
puchhta hai jis se har ek zindagi ka rasta
masjidon mein but-kadon mein aur mai-KHanon mein pir
koh mein gulzar mein basti mein viranon mein pir
jis taraf nazren uThin piron ka ek sailab hai
saikDon piron ke andar aadmi nayab hai
bambai mein gham-gusar-e-zindagi milta nahin
pir to milte hain lekin aadmi milta nahin
pir wo jo race ke ghoDon pe rakhte hain nazar
wahi nazil hoti hai saTTe ki jin ke qalb par
ahmaqon ko aur bhi ullu banane ke liye
aae hain duniya mein jo saTTa batane ke liye
aap ki tauhin hai gar kuchh bhi mehnat kijiye
ek biDi dijiye saTTe ka number lijiye
par hai beDa jo kar le koi piron par yaqin
naukri aulad paise ka koi danda nahin
hoshiyar in rahzanon se ai urus-e-bambai
tere ruKHsaron ki kam hone lagi hai raushni
teri naslon mein jawan piron ki baaten jaengi
aql ke hote hue bhi rang apna laengi
zindagi ka rasta is tarah mil sakta nahin
ghuncha-e-ummid in piron se khil sakta nahin
chhoD de lillah ab ye pir-bazi chhoD de
but-shikan fitrat hai teri in buton ko toD de
haif tujh ko zindagi ka rasta milta nahin
pir milte hain tujhe lekin KHuda milta nahin
- Naye Tarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.