ai waqt zara tham ja
ik ḳhvāb kī aahaT se yuuñ guuñj uThīñ galiyāñ
ambar pe khile taare bāġhoñ meñ hañseñ kaliyāñ
sāgar kī ḳhamoshī meñ ik mauj ne karvaT lī
aur chāñd jhukā us par
phir baam hue raushan
khiḌkī ke kivāḌoñ par saaya sā koī larzā
aur tez huī dhaḌkan
phir TuuT ga.ī chūḌī, ujaḌne lage manzar
ik dast-e-hinā.ī kī dastak se khulā dil meñ
ik rañg kā darvāza
ḳhushbū sī ajab mahkī
koyal kī tarah koī be-nām tamannā sī
phir duur kahīñ chahkī
phir dil kī surāhī meñ ik phuul khilā taaza
jugnū bhī chale aa.e sun shaam kā āvāza
aur bhañvre hañse mil kar
har ek sitāre kī āñkhoñ meñ ishāre haiñ
us shaḳhs ke aane ke
ai vaqt zarā tham jā
āsār ye saare haiñ us shaḳhs ke aane ke
ek KHwab ki aahaT se yun gunj uThin galiyan
ambar pe khile tare baghon mein hansen kaliyan
sagar ki KHamoshi mein ek mauj ne karwaT li
aur chand jhuka us par
phir baam hue raushan
khiDki ke kiwaDon par saya sa koi larza
aur tez hui dhaDkan
phir TuT gai chuDi, ujaDne lage manzar
ek dast-e-hinai ki dastak se khula dil mein
ek rang ka darwaza
KHushbu si ajab mahki
koyal ki tarah koi be-nam tamanna si
phir dur kahin chahki
phir dil ki surahi mein ek phul khila taza
jugnu bhi chale aae sun sham ka aawaza
aur bhanwre hanse mil kar
har ek sitare ki aankhon mein ishaare hain
us shaKHs ke aane ke
ai waqt zara tham ja
aasar ye sare hain us shaKHs ke aane ke
- Book : Nazdik (Pg. 92)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.