ai watan ki sarzamin
yuuñ to husn har jagah hai
lekin is qadar nahīñ
ai vatan kī sarzamīñ
ye khulī khulī fazā
ye dhulā dhulā gagan
naddiyoñ ke pech-o-ḳham
parbatoñ kā bāñkpan
terī vādiyāñ javāñ
tere rāste hasīñ
ai vatan kī sarzamīñ
terī ḳhaak meñ basī
maañ ke duudh kī mahak
tere ruup meñ rachī
svarg lok kī jhalak
ham meñ haiñ kamī rahī
tujh meñ kuchh kamī nahīñ
ai vatan kī sarzamīñ
terī ḳhaak kī qasam
ham tujhe bachā.eñge
dushmanoñ kī fauj par
bijliyāñ girā.eñge
naujavān nasl kī
himmatoñ pe rakh yaqīñ
ai vatan kī sarzamīñ
yun to husn har jagah hai
lekin is qadar nahin
ai watan ki sarzamin
ye khuli khuli faza
ye dhula dhula gagan
naddiyon ke pech-o-KHam
parbaton ka bankpan
teri wadiyan jawan
tere raste hasin
ai watan ki sarzamin
teri KHak mein basi
man ke dudh ki mahak
tere rup mein rachi
swarg lok ki jhalak
hum mein hain kami rahi
tujh mein kuchh kami nahin
ai watan ki sarzamin
teri KHak ki qasam
hum tujhe bachaenge
dushmanon ki fauj par
bijliyan giraenge
naujawan nasl ki
himmaton pe rakh yaqin
ai watan ki sarzamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.