ai zamistan ki hawa tez na chal
ai zamistāñ kī huā tez na chal
is qadar tez na ho mauj-e-subuk-ḳhez kī rau
kahīñ ashjār ke ḳhemoñ kī tanābeñ kaT jaa.eñ
zard patte haiñ abhī gulshan-e-hastī kā siñghār
kah rahī hai ye abhī ahd-e-guzashta kī bahār
rañg-rafta huuñ magar aaj bhī tasvīr meñ huuñ
murtasim haiñ mirī shāḳhoñ pe mirī yaad ke chāñd
maiñ hanūz apne ḳhayālāt kī zanjīr meñ huuñ
abhī pattoñ pe chamak uThtā hai rañgoñ kā ġhubār
abhī shāḳhoñ meñ lahak jaatī hai bulbul kī pukār
barg-rīzāñ se kaho shahar se bāhar Thahre
shahar ke baaġh se bustān-e-dabistāñ se pare
barg-e-larzāñ meñ taḌaptā hai abhī zauq-e-numū
par-e-tā.ūs meñ hai raqs kī ḳhvāhish ab bhī
abhī kartā hai chaman chāk-e-garebāñ ko rafū
yuuñ to qānūn haiñ fitrat ke aTal
ai zamistāñ kī havā tez na chal
sa.ī-e-malbūs meñ haiñ kitne nagoñ baḳht-e-zabūñ
zindagī jin ke liye sahn-e-saman-posh nahīñ
duur ke des se aa.ī huī utran ke liye
mard-o-zan kūcha-o-bāzār meñ rusvā haiñ abhī
jaise ho qahr-e-mujassam tirī yaḳh-basta jabīñ
terī aahaT meñ ho jaise kisī dahshat kā payām
terī dastak se larazte haiñ makāñ aur makīñ
vo makāñ jin ke dar-o-bām dar-o-bām nahīñ
vo makīñ jin ke liye ishrat-e-ayyām nahīñ
jin ke lahjoñ meñ nahīñ lazzat-e-guftār kā rañg
jin kī āvāz meñ haiñ tīra-nasībī ke azaab
jin se tahzīb liyā kartī hai jiine kā ḳhirāj
jin kī har saañs hai andesha-e-fardā kā nisāb
is qadar tund na ho dekh sambhal
ai zamistāñ kī huā tez na chal
ai zamistan ki hua tez na chal
is qadar tez na ho mauj-e-subuk-KHez ki rau
kahin ashjar ke KHemon ki tanaben kaT jaen
zard patte hain abhi gulshan-e-hasti ka singhaar
kah rahi hai ye abhi ahd-e-guzashta ki bahaar
rang-rafta hun magar aaj bhi taswir mein hun
murtasim hain meri shaKHon pe meri yaad ke chand
main hanuz apne KHayalat ki zanjir mein hun
abhi patton pe chamak uThta hai rangon ka ghubar
abhi shaKHon mein lahak jati hai bulbul ki pukar
barg-rizan se kaho shahar se bahar Thahre
shahar ke bagh se bustan-e-dabistan se pare
barg-e-larzan mein taDapta hai abhi zauq-e-numu
par-e-taus mein hai raqs ki KHwahish ab bhi
abhi karta hai chaman chaak-e-gareban ko rafu
yun to qanun hain fitrat ke aTal
ai zamistan ki hawa tez na chal
sai-e-malbus mein hain kitne nagon baKHt-e-zabun
zindagi jin ke liye sahn-e-saman-posh nahin
dur ke des se aai hui utran ke liye
mard-o-zan kucha-o-bazar mein ruswa hain abhi
jaise ho qahr-e-mujassam teri yaKH-basta jabin
teri aahaT mein ho jaise kisi dahshat ka payam
teri dastak se larazte hain makan aur makin
wo makan jin ke dar-o-baam dar-o-baam nahin
wo makin jin ke liye ishrat-e-ayyam nahin
jin ke lahjon mein nahin lazzat-e-guftar ka rang
jin ki aawaz mein hain tira-nasibi ke azab
jin se tahzib liya karti hai jine ka KHiraj
jin ki har sans hai andesha-e-farda ka nisab
is qadar tund na ho dekh sambhal
ai zamistan ki hua tez na chal
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 312)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.