ai zohra-jabin nach
ai zohra-jabīñ naach mirī zohra-jabīñ naach
lenin kī qasam aaj tū dīvāna banā de
haañ merī nigāhoñ se nigāhoñ ko milā kar
resham se ye gesū mire shānoñ pe bichhā de
le dekh ki laayā huuñ na.ī qism ke bunde
kal reshmī saarī bhī tirī nazr karūñgā
biivī mirī bīmār hai achchhā hai ki mar jaa.e
ab maiñ tirī zulfoñ hī ke saa.e meñ jiyūñgā
haañ jaam uThā jaam ki kartā hai ishāre
ye abr ye bal khātī phuvāroñ kā tarannum
kis naaz se rah rah ke chamaktī hai ye bijlī
jaise tire tarshe hue hoñToñ pe tabassum
ye tere madhur giit ye paa.el kī chhamā-chham
hai in kī badaulat hī mirī garmī-e-afkār
ye seb se ruḳhsār ye bādām sī āñkheñ
paate haiñ tavānā.ī inhīñ se mire ash'ār
ye terā ḳham-o-pech tire raqs ke andāz
jaise kisī muflis ke taḌapne kī ho tasvīr
lenin kī qasam ye tire gesū-e-pareshāñ
jaise kisī mazdūr kī uljhī huī taqdīr
kam-zarf haiñ dete haiñ tavā.if ke jo tā’ne
ai zohra-jabīñ asl meñ mazdūr hai tū bhī
laa.e jo tire paas khanakte hue sikke
ḳhidmat ko har us shaḳhs ke majbūr hai tū bhī
ġhurbat ke ghaTā-Top añdhere meñ mirī jaañ
maiñ surḳh savere kī damak dekh rahā huuñ
mumkin hai ki mil jaa.e mujhe bhī koī ‘ohda
ummīd kī halkī sī chamak dekh rahā huuñ
mazdūroñ ke jalse meñ sunānī hai mujhe aaj
vo nazm mamūle ko jo shāhīñ se laḌā de
stalin-o-lenin kī qasam jaam kī saugand
ai zohra-jabīñ pighlī huī aag pilā de
mahkī huī sāñseñ mirī sāñsoñ meñ samo de
sahbā-e-shafaq-rang kī mastī meñ Dubo de
ai zohra-jabin nach meri zohra-jabin nach
lenin ki qasam aaj tu diwana bana de
han meri nigahon se nigahon ko mila kar
resham se ye gesu mere shanon pe bichha de
le dekh ki laya hun nai qism ke bunde
kal reshmi sari bhi teri nazr karunga
biwi meri bimar hai achchha hai ki mar jae
ab main teri zulfon hi ke sae mein jiyunga
han jam uTha jam ki karta hai ishaare
ye abr ye bal khati phuwaron ka tarannum
kis naz se rah rah ke chamakti hai ye bijli
jaise tere tarshe hue honTon pe tabassum
ye tere madhur git ye pael ki chhama-chham
hai in ki badaulat hi meri garmi-e-afkar
ye seb se ruKHsar ye baadam si aankhen
pate hain tawanai inhin se mere ash'ar
ye tera KHam-o-pech tere raqs ke andaz
jaise kisi muflis ke taDapne ki ho taswir
lenin ki qasam ye tere gesu-e-pareshan
jaise kisi mazdur ki uljhi hui taqdir
kam-zarf hain dete hain tawaif ke jo ta’ne
ai zohra-jabin asl mein mazdur hai tu bhi
lae jo tere pas khanakte hue sikke
KHidmat ko har us shaKHs ke majbur hai tu bhi
ghurbat ke ghaTa-Top andhere mein meri jaan
main surKH sawere ki damak dekh raha hun
mumkin hai ki mil jae mujhe bhi koi ‘ohda
ummid ki halki si chamak dekh raha hun
mazduron ke jalse mein sunani hai mujhe aaj
wo nazm mamule ko jo shahin se laDa de
stalin-o-lenin ki qasam jam ki saugand
ai zohra-jabin pighli hui aag pila de
mahki hui sansen meri sanson mein samo de
sahba-e-shafaq-rang ki masti mein Dubo de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.