Ain
dūsrā kaun hai
kaun hai saath mere
andhere meñ jis kā vajūd
apne hone ke ehsās kī lau tez rakhte hue
mere sahme hue saañs kī raas thāme hue chal rahā hai
diyā ek ummīd kā jal rahā hai
kahīñ ābshāroñ ke pīchhe
ghanī niiñd jaise añdheroñ meñ
sahrā kī lā-samt pahnā.ī meñ
paañv dhañste hue
saañs ruk ruk ke chalte hue
kitnā bojhal hai vo
jis ko sahrā kī ik samt se dūsrī samt meñ
le ke jaane pe māmūr huuñ
maiñ rukūñ to zamāñ gardisheñ rok kar baiTh jaa.e
āsmāñ thak ke sahrā ke bistar pe chit gir paḌe
chal rahā huuñ
bahut dhīme dhīme
qasam
chhe dinoñ kī
musalsal chalūñgā
maiñ burrāq se kyā jalūñgā
bas ik soch meñ dhañs gayā thā
ki ye dūsrā kaun hai
koī hārūn hai
yā ki hārūt hai
dusra kaun hai
kaun hai sath mere
andhere mein jis ka wajud
apne hone ke ehsas ki lau tez rakhte hue
mere sahme hue sans ki ras thame hue chal raha hai
diya ek ummid ka jal raha hai
kahin aabshaaron ke pichhe
ghani nind jaise andheron mein
sahra ki la-samt pahnai mein
panw dhanste hue
sans ruk ruk ke chalte hue
kitna bojhal hai wo
jis ko sahra ki ek samt se dusri samt mein
le ke jaane pe mamur hun
main rukun to zaman gardishen rok kar baiTh jae
aasman thak ke sahra ke bistar pe chit gir paDe
chal raha hun
bahut dhime dhime
qasam
chhe dinon ki
musalsal chalunga
main burraq se kya jalunga
bas ek soch mein dhans gaya tha
ki ye dusra kaun hai
koi haarun hai
ya ki haarut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.