ain-mumkin hai
'ain-mumkin hai Duub jaa.eñ ham
ham jo kachche makāñ ke baasī haiñ
dasht-e-be-āsmāñ ke baasī haiñ
ham jo dāman meñ kuchh nahīñ rakhte
bebasī aur be-kasī ke sivā
apne āñgan meñ kuchh nahīñ rakhte
saḳhtī-e-'umr-o-muflisī ke sivā
ham ki vo dard-āshnā jin par
'umr-bhar vaqt mehrbāñ na huā
aaj tak baḳht mehrbāñ na huā
ham jinheñ ziist ke gulistāñ se
rāhatoñ kī havā nahīñ aa.ī
ham jinheñ kūcha-hā-e-yārāñ se
hamdamī kī sadā nahīñ aa.ī
ham jinheñ ulfatoñ ke raste meñ
apnī hī sādgī ne luuTā hai
har na.ī dostī ne luuTā hai
ham jinheñ zindagī kā paas to hai
par jinheñ zindagī se pyaar nahīñ
ham jo har lahza muskurāte haiñ
par jinheñ ek pal qarār nahīñ
ab tire ḳhvāb ko vafā karne
sū-e-sāhil chale to haiñ lekin
'ain-mumkin hai Duub jaa.eñ ham
'ain-mumkin hai Dub jaen hum
hum jo kachche makan ke basi hain
dasht-e-be-asman ke basi hain
hum jo daman mein kuchh nahin rakhte
bebasi aur be-kasi ke siwa
apne aangan mein kuchh nahin rakhte
saKHti-e-'umr-o-muflisi ke siwa
hum ki wo dard-ashna jin par
'umr-bhar waqt mehrban na hua
aaj tak baKHt mehrban na hua
hum jinhen zist ke gulistan se
rahaton ki hawa nahin aai
hum jinhen kucha-ha-e-yaran se
hamdami ki sada nahin aai
hum jinhen ulfaton ke raste mein
apni hi sadgi ne luTa hai
har nai dosti ne luTa hai
hum jinhen zindagi ka pas to hai
par jinhen zindagi se pyar nahin
hum jo har lahza muskuraate hain
par jinhen ek pal qarar nahin
ab tere KHwab ko wafa karne
su-e-sahil chale to hain lekin
'ain-mumkin hai Dub jaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.