ainak ki qabr
apnī bīnā.ī khotī āñkhoñ se
kamre meñ bikhrī parchhā.īñ ko
dekh kar maiñ ne kahā
maiñ tanhā nahīñ huuñ
apnī ham-jolī ainak ke saath
sair kartī huuñ
dūr-darāz ilāqoñ tak
ghuum aatī huuñ
tārīḳh ke tah-ḳhānoñ meñ
aur
falsafī ke zehnoñ
ke raaz
jaan letī huuñ
kabhī sharmā kar simaT jaatī haiñ
yādoñ kī parchhā.iyāñ
tab maiñ DhūñDtī huuñ
ham-jolī ainak ko
jo satātī hai bār-bār
oT meñ ho kar
miltī nahīñ
DhūñDe se bhī
maiñ ghabrā jaatī huuñ
apne adhūre-pan se
vo phir muskurā kar jhāñktī hai
takiye kī oT se
magar aaj ye hādisa huā
jab kho diyā use
to vo mil na sakī
maiñ bhaTaktī rahī
dhundlī āñkhoñ se
saare ghar meñ
bartanoñ kī almāriyoñ
aur kapḌoñ kī darāzoñ meñ
dhuup chhāñv aur bistaraoñ meñ
kahīñ bhī nahīñ thī vo
be-chārī sī thak kar baiTh ga.ī maiñ
hurūf ke liye tarastī huī
merī nazreñ majbūr-e-mahz
us ke baġhair
dekh na pā.īñ
merī ainak kī qabr
aur vo kitāboñ kī dabīz tahoñ meñ dafn
hotī ga.ī
apni binai khoti aankhon se
kamre mein bikhri parchhain ko
dekh kar main ne kaha
main tanha nahin hun
apni ham-joli ainak ke sath
sair karti hun
dur-daraaz ilaqon tak
ghum aati hun
tariKH ke tah-KHanon mein
aur
falsafi ke zehnon
ke raaz
jaan leti hun
kabhi sharma kar simaT jati hain
yaadon ki parchhaiyan
tab main DhunDti hun
ham-joli ainak ko
jo satati hai bar-bar
oT mein ho kar
milti nahin
DhunDe se bhi
main ghabra jati hun
apne adhure-pan se
wo phir muskura kar jhankti hai
takiye ki oT se
magar aaj ye hadisa hua
jab kho diya use
to wo mil na saki
main bhaTakti rahi
dhundli aankhon se
sare ghar mein
bartanon ki almariyon
aur kapDon ki daraazon mein
dhup chhanw aur bistaraon mein
kahin bhi nahin thi wo
be-chaari si thak kar baiTh gai main
huruf ke liye tarasti hui
meri nazren majbur-e-mahz
us ke baghair
dekh na pain
meri ainak ki qabr
aur wo kitabon ki dabiz tahon mein dafn
hoti gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.