aisa bahut mumkin nahin
ham ne kabhī sochā nahīñ
us paar ufuq ke us taraf
kyoñ diid ke ḳhvāhāñ haiñ ham
kyā vāqa'ī un vādiyoñ
meñ hogī aisī ḳhāmushī
ham āḳhirī naġhme jahāñ
be-ḳhauf aur be-chashm-e-nam
ik baar khul ke gā sakeñ
shāyad ye mumkin ho magar
aisā bahut mumkin nahīñ
hum ne kabhi socha nahin
us par ufuq ke us taraf
kyon did ke KHwahan hain hum
kya waqa'i un wadiyon
mein hogi aisi KHamushi
hum aaKHiri naghme jahan
be-KHauf aur be-chashm-e-nam
ek bar khul ke ga saken
shayad ye mumkin ho magar
aisa bahut mumkin nahin
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 90)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.