aisa kash abhi ho jae
beloñ par toffē khil jaa.e
chaa.e coffē nal se aa.e
biscuit Daalī Daalī jhūle
bachcha bachcha jis ko chhū le
bagiyā hogī kitnī pyārī
laDDū hoñ jab kyārī kyārī
būñdeñ Tapke būñdīñ ban kar
barfī phaile ghar kī chhat par
halve kā bādal ghar aa.e
aisā kaash kabhī ho jaa.e
peḌoñ par peḌe lag jaa.eñ
jab chāheñ ham toḌ ke khā.eñ
har jānib sohan halva ho
bālūshāhī kā jalva ho
jharnā ḳhair kā bahtā jaa.e
ḳhuub jalebī tairtī aa.e
berī par jab māreñ patthar
khiil batāshe Tapkeñ din bhar
bachcha khaa.e būḌhā khaa.e
aisā kaash kabhī ho jaa.e
qulfī kā mīnār khaḌā ho
har taare meñ cake juḌā ho
nikleñ jab saḌkoñ par ghar se
motī-chūr ke laDDū barse
mīThe duudh kī barsāteñ hoñ
peThe kī sab sauġhāteñ hoñ
fālūde se hauz bharā ho
lassī kā dariyā bahtā ho
bārish aa kar ras barsā.e
aisā kaash kabhī ho jaa.e
nafrat ho kaḌvī bolī se
ulfat ho har ham-jolī se
shīrīñ kar deñ duniyā saarī
pyaar se bhar deñ duniyā saarī
duniyā meñ har kaam ho shīrīñ
avval āḳhir naam ho shīrīñ
sab se 'haidar' bolo mīThā
mīThā khā kar bolo mīThā
shīrīnī hoñToñ par chhā.e
aisā kaash abhī ho jaa.e
belon par toffee khil jae
chae coffee nal se aae
biscuit Dali Dali jhule
bachcha bachcha jis ko chhu le
bagiya hogi kitni pyari
laDDu hon jab kyari kyari
bunden Tapke bundin ban kar
barfi phaile ghar ki chhat par
halwe ka baadal ghar aae
aisa kash kabhi ho jae
peDon par peDe lag jaen
jab chahen hum toD ke khaen
har jaanib sohan halwa ho
baalushahi ka jalwa ho
jharna KHair ka bahta jae
KHub jalebi tairti aae
beri par jab maren patthar
khil batashe Tapken din bhar
bachcha khae buDha khae
aisa kash kabhi ho jae
qulfi ka minar khaDa ho
har tare mein cake juDa ho
niklen jab saDkon par ghar se
moti-chur ke laDDu barse
miThe dudh ki barsaten hon
peThe ki sab saughaten hon
falude se hauz bhara ho
lassi ka dariya bahta ho
barish aa kar ras barsae
aisa kash kabhi ho jae
nafrat ho kaDwi boli se
ulfat ho har ham-joli se
shirin kar den duniya sari
pyar se bhar den duniya sari
duniya mein har kaam ho shirin
awwal aaKHir nam ho shirin
sab se 'haidar' bolo miTha
miTha kha kar bolo miTha
shirini honTon par chhae
aisa kash abhi ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.