Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa kab tak chalega

Geetanjali Geet

aisa kab tak chalega

Geetanjali Geet

MORE BYGeetanjali Geet

    kuchh kahnā hai aur kuchh na kahe chale jaanā ye kab tak chalegā

    tumhārā ham par yuuñ mar mar ke jiye jaanā aisā kab tak chalegā

    ye jo tum na.e bahānoñ se hameñ dekhne aate ho sab samajh aatā hai

    ham tumheñ dekh leñ aur tumhārā be-sāḳhta muñh pher jaanā aisā kab tak chalegā

    lo aa ga.e tumhāre dost phir qāsid ban

    āshiq haal burā hai in ye mujhe batā.e jaanā aisā kab tak chalegā

    maiñ ne to kabhī nahīñ rokā tumheñ merā haath thāmne se

    tumhārā har roz itne qarīb se guzar jaanā

    aisā kab tak chalegā

    nahīñ jānte tumhārī kyā hai hasrat

    to ye jān-būjh kar shā.irī meñ apnī sab kahe jaanā

    aisā kab tak chalegā

    tum se nahīñ hotā to ek qadam maiñ aage baḌhātī huuñ

    'gīt' ab terā ye ek qadam aage baḌhā do pīchhe ho jaanā

    aisā kab tak chalegā

    kuchh kahna hai aur kuchh na kahe chale jaana ye kab tak chalega

    tumhaara hum par yun mar mar ke jiye jaana aisa kab tak chalega

    ye jo tum nae bahanon se hamein dekhne aate ho sab samajh aata hai

    hum tumhein dekh len aur tumhaara be-saKHta munh pher jaana aisa kab tak chalega

    lo aa gae tumhaare dost phir qasid ban

    aashiq ka haal bura hai in ka ye mujhe batae jaana aisa kab tak chalega

    main ne to kabhi nahin roka tumhein mera hath thamne se

    tumhaara har roz itne qarib se guzar jaana

    aisa kab tak chalega

    nahin jaante tumhaari kya hai hasrat

    to ye jaan-bujh kar shairi mein apni sab kahe jaana

    aisa kab tak chalega

    tum se nahin hota to ek qadam main hi aage baDhati hun

    'git' ab tera ye ek qadam aage baDha do pichhe ho jaana

    aisa kab tak chalega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now