ajab bala-KHez marhala tha
Interesting Fact
(February 1990)
ajab safar thā
ajab pur-asrār marhala thā
ajiib hañgām-e-rah-e-navardī
ajiib shauq-e-jahāñ-numā thā
na koī saut-e-darā sadā-e-rahīl thī
aur na koī manzil na kārvāñ thā
ajiib ḳhū-e-safar thī
jo zād-e-rāh thī
ham-safar thī
rahrav thī
rāhbar thī
na dil meñ andesha-e-marāhil
na ḳhauf-e-jāda
na intizār-e-savād-e-manzil
har us tūfān-e-bād-o-bārāñ
na paa.e rah-e-āfrīñ meñ laġhzish
na rāh-e-gum-kardagī kā sadma
bas ek bebāk hausla thā
jo saarī hastī pe chhā gayā thā
ki jaan mahshar-ba-dast thī
pech-o-ḳham rah-e-pur-ḳhatar ke uqda-kushā the
dil fāriġh-e-ḳhatar thā
ajab safar thā
ajab balā-ḳhez marhala thā
ki duur tak
sarhad-e-ufuq tak
samundar-o-sabza-zār-o-wādī-o-koh-o-sahrā-o-dasht-o-dariyā the
aur maiñ thī
musāfirat thī
safar barā.e-safar thā
ik pyaas kā samundar thā
jo rag-e-jāñ meñ maujzan thā
vo arsa-e-motabar thā
yā ahd-e-muḳhtasar thā
vo jo bhī thā
ik ajab safar thā
ajab balā-ḳhez marhala thā
ajab safar tha
ajab pur-asrar marhala tha
ajib hangam-e-rah-e-nawardi
ajib shauq-e-jahan-numa tha
na koi saut-e-dara sada-e-rahil thi
aur na koi manzil na karwan tha
ajib KHu-e-safar thi
jo zad-e-rah thi
ham-safar thi
rahraw thi
rahbar thi
na dil mein andesha-e-marahil
na KHauf-e-jada
na intizar-e-sawad-e-manzil
har us tufan-e-baad-o-baran
na pae rah-e-afrin mein laghzish
na rah-e-gum-kardagi ka sadma
bas ek bebak hausla tha
jo sari hasti pe chha gaya tha
ki jaan mahshar-ba-dast thi
pech-o-KHam rah-e-pur-KHatar ke uqda-kusha the
dil farigh-e-KHatar tha
ajab safar tha
ajab bala-KHez marhala tha
ki dur tak
sarhad-e-ufuq tak
samundar-o-sabza-zar-o-wadi-o-koh-o-sahra-o-dasht-o-dariya the
aur main thi
musafirat thi
safar barae-safar tha
ek pyas ka samundar tha
jo rag-e-jaan mein maujzan tha
wo arsa-e-motabar tha
ya ahd-e-muKHtasar tha
wo jo bhi tha
ek ajab safar tha
ajab bala-KHez marhala tha
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 22)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.