ajab hai khel carrom ka
safed aur siyāh goToñ ke hasīñ ik dā.ere andar
bahut hī surḳh rañgat kī hasīñ ik goT hotī hai
ki jis ko raanī kahte haiñ
har ik khelne vaale kī bas ik hī tamannā hai
isī carrom ke konoñ meñ jo chhoTe chhoTe kamre haiñ
unheñ ābād karnā hai kanīzoñ se aur raanī se
khilāḌī chaal chaltā hai stricker kī madad se
āmad-o-raft un kanīzoñ kī
lagī rahtī hai kamroñ meñ
kahīñ gorī kahīñ kaalī kabhī raanī
ajab hai khel carrom kā
har ik yaañ khelne vaalā isī dhun meñ hai sargardāñ
isī kāvish meñ rahtā hai
kisī tarah se raanī ko vo us jānib ko le jaa.e
jo us kī jiit kā ghar hai hai maskan us kī fat.h kā
mahal jo hai tamannā kā jo us kī rājdhānī hai
jahāñ pe jā ke ye raanī usī kī ho ke rah jaa.e
ajab hai khel carrom kā
udhar raanī kī sharteñ haiñ karegā jo bhī puurī ye
to raanī tab hī jā.egī
lo us kī shart bhī sun lo ki
kanīz-e-ḳhās ko le kar hī raanī aap kī hogī
karegī kamre kā ruḳh jab kanīz-e-ḳhās hamrāh ho
siyāh ho chāhe gorī ho magar vo saath meñ jaa.e
ajab hai khel carrom kā
mujhe raanī kī shartoñ par baḌā hī pyaar aayā hai
khilāḌī to nahīñ raanī magar raanī to hai āḳhir
humā fat.h-o-nusrat kā
aur akasr kāmrānī kā
usī ke sar pe jaatā hai
ki jis ke paas raanī hai
ka.ī tarah se dekho to
bahut haiñ zāviye us meñ
bahut asbāq haiñ us meñ
darīche zehn ke khole
ajab hai khel carrom kā
kabhī raanī ke hote bhī
shikast-e-fāsh hotī hai
kabhī raanī ke hone se
muqaddar jagmagā uTThe
muzaffar aap ko kar de
kabhī raanī to miltī hai magar
tum haar jaate ho
kabhī aisā bhī hotā hai
koī raanī ko na pā kar
bhī tum se jiit jaatā hai
ajab hai khel carrom kā
safed aur siyah goTon ke hasin ek daere andar
bahut hi surKH rangat ki hasin ek goT hoti hai
ki jis ko rani kahte hain
har ek khelne wale ki bas ek hi tamanna hai
isi carrom ke konon mein jo chhoTe chhoTe kamre hain
unhen aabaad karna hai kanizon se aur rani se
khilaDi chaal chalta hai stricker ki madad se
aamad-o-raft un kanizon ki
lagi rahti hai kamron mein
kahin gori kahin kali kabhi rani
ajab hai khel carrom ka
har ek yan khelne wala isi dhun mein hai sargardan
isi kawish mein rahta hai
kisi tarah se rani ko wo us jaanib ko le jae
jo us ki jit ka ghar hai hai maskan us ki fath ka
mahal jo hai tamanna ka jo us ki rajdhani hai
jahan pe ja ke ye rani usi ki ho ke rah jae
ajab hai khel carrom ka
udhar rani ki sharten hain karega jo bhi puri ye
to rani tab hi jaegi
lo us ki shart bhi sun lo ki
kaniz-e-KHas ko le kar hi rani aap ki hogi
karegi kamre ka ruKH jab kaniz-e-KHas hamrah ho
siyah ho chahe gori ho magar wo sath mein jae
ajab hai khel carrom ka
mujhe rani ki sharton par baDa hi pyar aaya hai
khilaDi to nahin rani magar rani to hai aaKHir
huma fath-o-nusrat ka
aur akasr kaamrani ka
usi ke sar pe jata hai
ki jis ke pas rani hai
kai tarah se dekho to
bahut hain zawiye us mein
bahut asbaq hain us mein
dariche zehn ke khole
ajab hai khel carrom ka
kabhi rani ke hote bhi
shikast-e-fash hoti hai
kabhi rani ke hone se
muqaddar jagmaga uTThe
muzaffar aap ko kar de
kabhi rani to milti hai magar
tum haar jate ho
kabhi aisa bhi hota hai
koi rani ko na pa kar
bhi tum se jit jata hai
ajab hai khel carrom ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.