ajab lahja hai us ka
pāniyoñ par jhilmilātī chāñdnī jaisā
mire dil kā samundar jab bhañvar kī zad meñ aa jaa.e
sabhī tārīk lahreñ gher kar mujh ko
kisī pātāl kā rasta dikhātī hoñ
to vo aisī sifat lahja
mujhe phir sāhiloñ par khīñch laatā hai
mujhe kahtā hai dekho
is bhañvar ke paar bhī duniyā meñ kuchh lamhe dhaḌakte haiñ
unheñ bhī apnī sāñsoñ meñ parda dekhūñ
ye lahreñ jo ki añdhiyāroñ meñ dev-āsār lagtī haiñ
unheñ tum chāñdnī meñ dekhnā ye kis tarah
kirnoñ se mil kar mājare taḳhlīq kartī haiñ
ye lahreñ jab rupahle nuur kī naddī meñ Dhaltī haiñ
to mastī meñ machaltī āsmānoñ ko lapaktī haiñ
amāvas jab bhī aa.e chāñdnī ko yā magar lenā
mire chāroñ taraf meloñ pe chaltī dhuup phailī hai
magar us kī ye bāteñ bārishoñ kī būñdiyoñ jaisī
mire dil kī darāḌoñ meñ
harī faslī ugaa.ī haiñ
maiñ sar se paañv tak
shabnam se bhīgī pattiyoñ meñ Duub jaatī huuñ
paniyon par jhilmilati chandni jaisa
mere dil ka samundar jab bhanwar ki zad mein aa jae
sabhi tarik lahren gher kar mujh ko
kisi patal ka rasta dikhati hon
to wo aisi sifat lahja
mujhe phir sahilon par khinch lata hai
mujhe kahta hai dekho
is bhanwar ke par bhi duniya mein kuchh lamhe dhaDakte hain
unhen bhi apni sanson mein parda dekhun
ye lahren jo ki andhiyaron mein dew-asar lagti hain
unhen tum chandni mein dekhna ye kis tarah
kirnon se mil kar majare taKHliq karti hain
ye lahren jab rupahle nur ki naddi mein Dhalti hain
to masti mein machalti aasmanon ko lapakti hain
amawas jab bhi aae chandni ko ya magar lena
mere chaaron taraf melon pe chalti dhup phaili hai
magar us ki ye baaten barishon ki bundiyon jaisi
mere dil ki daraDon mein
hari fasli ugai hain
main sar se panw tak
shabnam se bhigi pattiyon mein Dub jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.