ajab marka
ye ma.arka bhī ajab hai
ki jis se laḌtā huuñ
vo maiñ hī ḳhud huuñ
rajaz mirā
mire dushman ke haq meñ jaatā hai
jo chal rahe haiñ vo tiir o tufañg apne haiñ
jo kāTte haiñ vo sāmān jañg apne haiñ
maiñ surḳh-rū huuñ to ḳhud apne ḳhuuñ kī rañg se
maiñ āshnā huuñ
ḳhud īzā-dahī kī lazzat se
ajiib jañg mire andarūñ meñ chiḌtī hai
mirī anā mirī be-mā.egī se laḌtī hai
maiñ be-zarar huuñ
bas apne sivā sabhī ke liye
ye marka bhi ajab hai
ki jis se laDta hun
wo main hi KHud hun
rajaz mera
mere dushman ke haq mein jata hai
jo chal rahe hain wo tir o tufang apne hain
jo kaTte hain wo saman jang apne hain
main surKH-ru hun to KHud apne KHun ki rang se
main aashna hun
KHud iza-dahi ki lazzat se
ajib jang mere andarun mein chiDti hai
meri ana meri be-maegi se laDti hai
main be-zarar hun
bas apne siwa sabhi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.