ajab tha dasht-e-bala ka manzar
Interesting Fact
(Funun, Lahore September-October 1973)
ajab thā dasht-e-balā kā manzar
jahāñ na.ī nafratoñ ke ḳhanjar
purānī rasm-e-vafā ke dil meñ utar ga.e the
jahāñ parāyoñ kī sāzish-e-be-amāñ ke baa.is
lahū ke rishte bhī dushman-e-jāñ bane hue the
jahāñ zamīñ par ḳharīf-e-ātish ugī huī thī
jahāñ fazā meñ tuyūr-e-āhan ubhar rahe the
tumhāre azm-e-javāñ ne aksar
na.e ḳhayāloñ kā nuur baḳhshā thā āgahī ko
koī bhī tārīḳh pā-ba-jaulāñ na kar sakī thī
tumhārī āzad-o-āsmāñ-gīr zindagī ko
shikast hargiz na de sakī thī
tumhāre jazboñ tumhāre pindār-e-bandagī ko
magar ye kyā inqalāb aayā
ki bijliyoñ ko bhī tauq meñ ham asiir dekheñ
talātumoñ ke jigar meñ paivast tiir dekheñ
sahar ho yā shaam har ufuq par
tumhāre ḳhuuñ kī lakīr dekheñ
mujhe gumāñ hai ki is shikast-e-zubūñ ke pīchhe
hamārā apnā bhī haath hogā
ye shām-e-zindāñ ye chup fazā ye udaas mausam
har ek shai meñ ḳhamosh tūfāñ chhupā huā hai
tumhāre zehnoñ kī TūTī-phūTī sī bairakoñ meñ
hazār-hā ḳhvāhishoñ kā melā lagā huā hai
abhī hamārā zamīñ se rishta rahegā qaa.em
payām ik din suneñge tajdīd-e-zindagī kā
na.e sahāre ḳhulūs kī bārisheñ kareñge
chaman khileñge tilism TūTegā bebasī kā
hamārī maa.eñ hamārī bahneñ hamāre bachche
lipaT ke ham se
kareñge iz.hār ahd-e-rafta kī bekalī kā
miTegā dard-e-firāq ujḌī suhāganoñ kā
har ek āñgan meñ daur aa.egā sarḳhushī kā
mere vatan ke ġhayūr beTo
tumhārī taqdīr-e-be-gunāhī pe dam-ba-ḳhud haiñ tamām qaumeñ
zamīr-e-insāñ tumhāre ġham se kisī tarah be-ḳhabar nahīñ hai
yaqīn jaano tumhāre ayyām-e-ibtilā ḳhatm ho chuke haiñ
yaqīn jaano jahān-e-tāza meñ qaht-e-fikr-o-nazar nahīñ hai
tumhārī mī.ād-e-āzmā.ish kā faisla mo'atabar nahīñ hai
tumhārā sayyād be-basar hai ye daur to be-basar nahīñ hai
ajab tha dasht-e-bala ka manzar
jahan nai nafraton ke KHanjar
purani rasm-e-wafa ke dil mein utar gae the
jahan parayon ki sazish-e-be-aman ke bais
lahu ke rishte bhi dushman-e-jaan bane hue the
jahan zamin par KHarif-e-atish ugi hui thi
jahan faza mein tuyur-e-ahan ubhar rahe the
tumhaare azm-e-jawan ne aksar
nae KHayalon ka nur baKHsha tha aagahi ko
koi bhi tariKH pa-ba-jaulan na kar saki thi
tumhaari aazad-o-asman-gir zindagi ko
shikast hargiz na de saki thi
tumhaare jazbon tumhaare pindar-e-bandagi ko
magar ye kya inqalab aaya
ki bijliyon ko bhi tauq mein hum asir dekhen
talatumon ke jigar mein paiwast tir dekhen
sahar ho ya sham har ufuq par
tumhaare KHun ki lakir dekhen
mujhe guman hai ki is shikast-e-zubun ke pichhe
hamara apna bhi hath hoga
ye sham-e-zindan ye chup faza ye udas mausam
har ek shai mein KHamosh tufan chhupa hua hai
tumhaare zehnon ki TuTi-phuTi si bairakon mein
hazar-ha KHwahishon ka mela laga hua hai
abhi hamara zamin se rishta rahega qaem
payam ek din sunenge tajdid-e-zindagi ka
nae sahaare KHulus ki barishen karenge
chaman khilenge tilism TuTega bebasi ka
hamari maen hamari bahnen hamare bachche
lipaT ke hum se
karenge izhaar ahd-e-rafta ki bekali ka
miTega dard-e-firaq ujDi suhaganon ka
har ek aangan mein daur aaega sarKHushi ka
mere watan ke ghayur beTo
tumhaari taqdir-e-be-gunahi pe dam-ba-KHud hain tamam qaumen
zamir-e-insan tumhaare gham se kisi tarah be-KHabar nahin hai
yaqin jaano tumhaare ayyam-e-ibtila KHatm ho chuke hain
yaqin jaano jahan-e-taza mein qaht-e-fikr-o-nazar nahin hai
tumhaari miad-e-azmaish ka faisla mo'atabar nahin hai
tumhaara sayyaad be-basar hai ye daur to be-basar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.