ajanmi beTi
tū ne aane na diyā duniyā meñ
maiñ tire jism kā hī hissa thī
is tarah kyuuñ miTā diyā mujh ko
maiñ mohabbat kā tere qissa thī
mujh ko hissoñ meñ baañT Daalā thā
kitne TukḌoñ meñ kaaT Daalā thā
mere hone se hotā kyā nuqsān
noch lī kyuuñ ye tum ne nannhī jaan
mere hone se kyā kamī hotī
maiñ tire ghar kī laxmī hotī
kuchh muqaddar nahīñ thā kyā merā
kyā mujhe haq nahīñ thā jiine kā
baañT letī maiñ terī har mushkil
terī āsān zindagī hotī
haath bantī kabhī maiñ paañv tire
maiñ tire ghar kī raushnī hotī
bojh kyuuñ beTiyāñ samajhte haiñ
haa.e ye duniyā vaale kaise haiñ
beTiyāñ hī lageñgī jab bhārī
ḳhatm phir kā.enāt hai saarī
tu ne aane na diya duniya mein
main tere jism ka hi hissa thi
is tarah kyun miTa diya mujh ko
main mohabbat ka tere qissa thi
mujh ko hisson mein banT Dala tha
kitne TukDon mein kaT Dala tha
mere hone se hota kya nuqsan
noch li kyun ye tum ne nannhi jaan
mere hone se kya kami hoti
main tere ghar ki laxmi hoti
kuchh muqaddar nahin tha kya mera
kya mujhe haq nahin tha jine ka
banT leti main teri har mushkil
teri aasan zindagi hoti
hath banti kabhi main panw tere
main tere ghar ki raushni hoti
bojh kyun beTiyan samajhte hain
hae ye duniya wale kaise hain
beTiyan hi lagengi jab bhaari
KHatm phir kaenat hai sari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.