ajib hai ye silsila
ajiib hai ye silsila
ye silsila ajiib hai
havā chale to ketiyoñ meñ dhuum chahchahoñ kī hai
havā ruke to murdanī hai
murdanī kī raakh kā nuzūl hai
kahāñ hai tū kahāñ hai tū
kahāñ nahīñ hai tū batā
abhī thā tere girte uḌte āñchaloñ kā silsila
aur ab ufuq par duur tak
ga.e dinoñ kī dhuul hai
ga.e dinoñ kī dhuul kā ye silsila fuzūl hai
maiñ ro sakūñ
to kyā ye gadlī kā.enāt dhul sakegī
mere āñsuoñ ke jhaag se
maiñ muskurā sakūñ
to kyā safar kī ḳhastagī ko bhuul kar ye kārvāñ nujūm ke
baras paḌeñge motiye ke phuul ban ke
is muhīb kāsa-e-hayāt meñ
na tū sune na maiñ kahūñ
na mere añg añg se sadā uThe
yuuñ hī maiñ āñsuoñ ko qahqahoñ ko
apne dil meñ dafan kar ke
gum
laboñ pe sil dhare
tire nagar meñ pā-piyāda pā-barahna
shaam ke fishār tak ravāñ rahūñ
magar kabhī
tirī nazar ke āstāñ ko
paar tak na kar sakūñ
ki tū azal se tā-abad
hazār sad hazār aañkh vaale vaqt
kī naqīb hai
ye silsila ajiib hai
ye silsila ajiib hai
ajib hai ye silsila
ye silsila ajib hai
hawa chale to ketiyon mein dhum chahchahon ki hai
hawa ruke to murdani hai
murdani ki rakh ka nuzul hai
kahan hai tu kahan hai tu
kahan nahin hai tu bata
abhi tha tere girte uDte aanchalon ka silsila
aur ab ufuq par dur tak
gae dinon ki dhul hai
gae dinon ki dhul ka ye silsila fuzul hai
main ro sakun
to kya ye gadli kaenat dhul sakegi
mere aansuon ke jhag se
main muskura sakun
to kya safar ki KHastagi ko bhul kar ye karwan nujum ke
baras paDenge motiye ke phul ban ke
is muhib kasa-e-hayat mein
na tu sune na main kahun
na mere ang ang se sada uThe
yun hi main aansuon ko qahqahon ko
apne dil mein dafan kar ke
gum
labon pe sil dhare
tere nagar mein pa-piyaada pa-barahna
sham ke fishaar tak rawan rahun
magar kabhi
teri nazar ke aastan ko
par tak na kar sakun
ki tu azal se ta-abad
hazar sad hazar aankh wale waqt
ki naqib hai
ye silsila ajib hai
ye silsila ajib hai
- Book : Nirdbaan (Pg. 32)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.