ajib KHwahish
maiñ chāhtā huuñ
ki merā beTā
javān ho kar
kisī hasīna kī kakuloñ kā asiir Thahre
mirī duā hai
ki ye rivāyat na TuuT jaa.e
use bhī kuchh dil kī rahnumā.ī meñ
zindagī ko guzārne kā sharaf atā ho
machine us ko bhī ban hī jaanā hai āḳhirash
bas duā yahī hai
ki mantiqoñ aur maslahat kī
napī-tulī zindagī se pahle
vo jī ke dekhe ḳhud apnī ḳhātir
kisī kī ḳhātir
vo apnā aapā bhulā ke dekhe
jo us ko mohtāt ban hī jaanā hai
apnī nīndoñ ke zimn meñ bhī
to chāhtā huuñ
vo chand rāteñ to ThanDī aahoñ ke saath kaaTe
aur is se pahle
ki chāñd sūraj faqat zarūrat kī chiiz Thahreñ
vo nañge pairoñ sulagtī chhat par
khaḌā rahe ik jhalak kī ḳhātir
vo chāñdnī shab meñ muntazir ho kisī parī kā
ḳhurāk kī ahmiyat kā qaa.el to ho rahegā
maiñ chāhtā huuñ
vo bhuuk ke zā.iqe se bhī
āshnā agar ho
to kyā burā hai
main chahta hun
ki mera beTa
jawan ho kar
kisi hasina ki kakulon ka asir Thahre
meri dua hai
ki ye riwayat na TuT jae
use bhi kuchh dil ki rahnumai mein
zindagi ko guzarne ka sharaf ata ho
machine us ko bhi ban hi jaana hai aaKHirash
bas dua yahi hai
ki mantiqon aur maslahat ki
napi-tuli zindagi se pahle
wo ji ke dekhe KHud apni KHatir
kisi ki KHatir
wo apna aapa bhula ke dekhe
jo us ko mohtat ban hi jaana hai
apni nindon ke zimn mein bhi
to chahta hun
wo chand raaten to ThanDi aahon ke sath kaTe
aur is se pahle
ki chand suraj faqat zarurat ki chiz Thahren
wo nange pairon sulagti chhat par
khaDa rahe ek jhalak ki KHatir
wo chandni shab mein muntazir ho kisi pari ka
KHurak ki ahmiyat ka qael to ho rahega
main chahta hun
wo bhuk ke zaiqe se bhi
aashna agar ho
to kya bura hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.