ajib log hain
ajiib log the
sūraj kī raushnī ke tale
ḳhud apne-āp ko pahchān bhī rahe the
aur
laboñ pe da.avā-e-inkār-e-āftāb bhī thā
vo jānte the ki sūraj kī raushnī ke sivā
koī charāġh mayassar nahīñ hai aisā jo
talāsh-e-asl-e-haqīqat ke ziine chaḌhte hue
be-imtiyāzī meñ is āftāb jaisā ho
ajiib log the
sūraj ke nūr-ḳhāne meñ
kirā.e-dār bhī the aur sar-nigūñ nahīñ the
kisī sharār-e-munāfiq ne un ke sīnoñ meñ
zabāñ-darāzī kī us aag ko havā dī thī
jise qabīla-e-ġhaflat ke ḳhushk logoñ ne
anā ke ḳhabt pe aflāk se nikāle hue
kisī darinda-e-be-shakl kī tasallī par
barā.e-nashsha-e-haivāniyat uThā liyā thā
magar ye kyā
ki phir aaj is hamārī bastī meñ
ajiib log haiñ
sūraj kī raushnī ke tale
ḳhud apne-āp ko pahchān bhī rahe haiñ
aur
laboñ pe da.avā-e-inkār-e-āftāb bhī hai
ajiib log haiñ
sūraj ke nūr-ḳhāne meñ
kirā.e-dār bhī haiñ
aur sar-nigūñ nahīñ haiñ
ajib log the
suraj ki raushni ke tale
KHud apne-ap ko pahchan bhi rahe the
aur
labon pe dawa-e-inkar-e-aftab bhi tha
wo jaante the ki suraj ki raushni ke siwa
koi charagh mayassar nahin hai aisa jo
talash-e-asl-e-haqiqat ke zine chaDhte hue
be-imtiyazi mein is aaftab jaisa ho
ajib log the
suraj ke nur-KHane mein
kirae-dar bhi the aur sar-nigun nahin the
kisi sharar-e-munafiq ne un ke sinon mein
zaban-daraazi ki us aag ko hawa di thi
jise qabila-e-ghaflat ke KHushk logon ne
ana ke KHabt pe aflak se nikale hue
kisi darinda-e-be-shakl ki tasalli par
barae-nashsha-e-haiwaniyat uTha liya tha
magar ye kya
ki phir aaj is hamari basti mein
ajib log hain
suraj ki raushni ke tale
KHud apne-ap ko pahchan bhi rahe hain
aur
labon pe dawa-e-inkar-e-aftab bhi hai
ajib log hain
suraj ke nur-KHane mein
kirae-dar bhi hain
aur sar-nigun nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.