ajib log
ajiib log haiñ
sahrā meñ shahr meñ ghar meñ
sulagtī ret pe ThiThure hue samundar meñ
ḳhalā meñ chāñd kī banjar zamīñ ke siine par
jo sub.h o shaam kī be-rabt raah meñ chup-chāp
ta.alluqāt kī tāmīr karte rahte haiñ
havā ke dosh pe tūfān zalzala sailāb
diyā-salā.ī kī tiilī pe tank atom bam
koī julūs koī poster koī taqrīr
umaDtī bhiiḌ kā har vote koī ballot box
phisaltī kursī kā jaadū basoñ kī lambī queue,
kahīñ pe sehn meñ gobar kahīñ pe gaa.e kā sar
har ek gosha hai shamshān qabr hai bistar
akelā phirtā hai sunsān shahr meñ curfew
qarīb ghuur pe chiThḌoñ meñ jism ke TukḌe
mahaktī raat se janmī huī fasurda-sub.h
bigaḌte bante hue zāviye khisaktī iiñT
tamām silsile be-rabt munqate rishte
magar vo dauḌte pairoñ pe uThte baḌhte haath
har ek jabr se be-ḳhauf be-niyāzāna
jo sub.h o shaam kī be-rabt raah meñ chup-chāp
ta.alluqāt kī tāmīr karte rahte haiñ
ajiib log haiñ
ajib log hain
sahra mein shahr mein ghar mein
sulagti ret pe ThiThure hue samundar mein
KHala mein chand ki banjar zamin ke sine par
jo subh o sham ki be-rabt rah mein chup-chap
talluqat ki tamir karte rahte hain
hawa ke dosh pe tufan zalzala sailab
diya-salai ki tili pe tank atom bam
koi julus koi poster koi taqrir
umaDti bhiD ka har wote koi ballot box
phisalti kursi ka jadu bason ki lambi queue,
kahin pe sehn mein gobar kahin pe gae ka sar
har ek gosha hai shamshan qabr hai bistar
akela phirta hai sunsan shahr mein curfew
qarib ghur pe chiThDon mein jism ke TukDe
mahakti raat se janmi hui fasurda-subh
bigaDte bante hue zawiye khisakti inT
tamam silsile be-rabt munqate rishte
magar wo dauDte pairon pe uThte baDhte hath
har ek jabr se be-KHauf be-niyazana
jo subh o sham ki be-rabt rah mein chup-chap
talluqat ki tamir karte rahte hain
ajib log hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.