ajib ma-fauq silsila tha
ajiib mā-fauq silsila thā
shajar jaḌoñ ke baġhair hī
ug rahe the
ḳheme baġhair choboñ ke
aur tanāboñ ke āsare ke
zamīñ pe istāda ho rahe the
charāġh lau ke baġhair hī
jal rahe the
kuuze baġhair miTTī ke
chaak par Dhal rahe the
dariyā baġhair paanī ke
bah rahe the
sabhī duā.eñ girafta-pā thiiñ
rukī huī chīzeñ qāfila thiiñ
pahāḌ bārish ke ek qatre se
ghul rahe the
baġhair chābī ke qufl
az-ḳhud hī khul rahe the
niDar piyāda the
aur buzdil
asiil ghoḌoñ pe baiTh kar
jañg laḌ rahe the
gunāhgāroñ ne sar se pā tak
badan ko burrāq chādaroñ se
Dhakā huā thā
valī kī nañgī kamar chhupāne ko
koī kapḌā nahīñ bachā thā
ajiib mā-fauq silsila thā
ajib ma-fauq silsila tha
shajar jaDon ke baghair hi
ug rahe the
KHeme baghair chobon ke
aur tanabon ke aasare ke
zamin pe istada ho rahe the
charagh lau ke baghair hi
jal rahe the
kuze baghair miTTi ke
chaak par Dhal rahe the
dariya baghair pani ke
bah rahe the
sabhi duaen girafta-pa thin
ruki hui chizen qafila thin
pahaD barish ke ek qatre se
ghul rahe the
baghair chabi ke qufl
az-KHud hi khul rahe the
niDar piyaada the
aur buzdil
asil ghoDon pe baiTh kar
jang laD rahe the
gunahgaron ne sar se pa tak
badan ko burraq chadaron se
Dhaka hua tha
wali ki nangi kamar chhupane ko
koi kapDa nahin bacha tha
ajib ma-fauq silsila tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.