ajnabi
baiThe baiThe rail ke Dabbe meñ
hotī haiñ bāteñ logoñ se
rāsta kāTne ke liye
vaqt bāñTne ke liye
manzil par pahuñch kar
dhundlī yādeñ bin kar
ye log chhūT jaate haiñ
usī Dabbe meñ
zamīn par bikhre hue
mūñgphalī ke chhilkoñ kī mānind
magar aaj ye
kaise ajnabī shaḳhs se
hui mulāqāt safar meñ
ki jis kā tasavvur
qulī ke sar par dhare sāmān kī tarah
mere saath ghar chalā āyā?
baiThe baiThe rail ke Dabbe mein
hoti hain baaten logon se
rasta kaTne ke liye
waqt banTne ke liye
manzil par pahunch kar
dhundli yaaden bin kar
ye log chhuT jate hain
usi Dabbe mein
zamin par bikhre hue
mungphali ke chhilkon ki manind
magar aaj ye
kaise ajnabi shaKHs se
hui mulaqat safar mein
ki jis ka tasawwur
quli ke sar par dhare saman ki tarah
mere sath ghar chala aaya?
- Book : Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 52)
- Author : Aditya Pant Naaqid
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.