ajnabi KHat-o-Khaal
ye kis ne mirī nazar ko luuTā
har chiiz kā husn chhin gayā hai
har shai ke haiñ ajnabī ḳhat-o-ḳhāl
baḌhte chale jā rahe haiñ har samt
mauhūm sī be-ruḳhī ke saa.e
kuchh is tarah ho rahā hai mahsūs
jaise kisī shai kā naqshm-e-mānūs
aa aa ke qarīb lauT jaa.e
begāna huuñ apne aap se maiñ
aur tū bhī hai duur duur mujh se
kuchh aise bikhar bikhar ga.e
jalvoñ ke sameTne ko goyā
āñkhoñ meñ sakat nahīñ rahī hai
kyā tū ne koī naqāb ulTā
yā aaj koī tilism TūTā!
ye kis ne mirī nazar ko luuTā
har shai ke haiñ ajnabī ḳhat-o-ḳhāl
ye kis ne meri nazar ko luTa
har chiz ka husn chhin gaya hai
har shai ke hain ajnabi KHat-o-KHal
baDhte chale ja rahe hain har samt
mauhum si be-ruKHi ke sae
kuchh is tarah ho raha hai mahsus
jaise kisi shai ka naqshm-e-manus
aa aa ke qarib lauT jae
begana hun apne aap se main
aur tu bhi hai dur dur mujh se
kuchh aise bikhar bikhar gae
jalwon ke sameTne ko goya
aankhon mein sakat nahin rahi hai
kya tu ne koi naqab ulTa
ya aaj koi tilism TuTa!
ye kis ne meri nazar ko luTa
har shai ke hain ajnabi KHat-o-KHal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.